jafa-o-jaur kiya ya wafa hua so hua
jafā-o-jaur kiyā yā vafā huā so huā
huā maiñ raazī jo us kī razā huā so huā
bhalā huā so huā yā burā huā so huā
taraf se yaar ke jo kuchh huā so huā
maiñ chhoḌ tujh ko ai sāhib mire kahāñ jā.ūñ
azal se banda tirā ho gayā huā so huā
qarīb mujh se hai phir kyuuñ nazar se ġhā.eb hai
jamāl apnā to mujh ko dikhā huā so huā
mu'āf kar de ḳhatā dil hai be-qarār mirā
kabhī to siina se apne lagā huā so huā
maiñ dekh zulf ko huuñ kufr kī zalālat meñ
dikhā ke muñh ko musalmān banā huā so huā
madad kisī se to phir chāhtā hai kyā 'kHāmosh'
vasīla tirā 'alī murtazā huā so huā
jafa-o-jaur kiya ya wafa hua so hua
hua main raazi jo us ki raza hua so hua
bhala hua so hua ya bura hua so hua
taraf se yar ke jo kuchh hua so hua
main chhoD tujh ko ai sahib mere kahan jaun
azal se banda tera ho gaya hua so hua
qarib mujh se hai phir kyun nazar se ghaeb hai
jamal apna to mujh ko dikha hua so hua
mu'af kar de KHata dil hai be-qarar mera
kabhi to sina se apne laga hua so hua
main dekh zulf ko hun kufr ki zalalat mein
dikha ke munh ko musalman bana hua so hua
madad kisi se to phir chahta hai kya 'kHamosh'
wasila tera 'ali murtaza hua so hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.