Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jahāñ terā naqsh-e-qadam dekhte haiñ

Mirza Ghalib

jahāñ terā naqsh-e-qadam dekhte haiñ

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    jahāñ terā naqsh-e-qadam dekhte haiñ

    ḳhayābāñ ḳhayābāñ iram dekhte haiñ

    dil-āshuftagāñ ḳhāl-e-kunj-e-dahan ke

    suvaidā meñ sair-e-adam dekhte haiñ

    tire sarv-qāmat se ik qadd-e-ādam

    qayāmat ke fitne ko kam dekhte haiñ

    tamāshā ki ai mahv-e-ā.īna-dārī

    tujhe kis tamannā se ham dekhte haiñ

    surāġh-e-taf-e-nāla le dāġh-e-dil se

    ki shab-rau naqsh-e-qadam dekhte haiñ

    banā kar faqīroñ ham bhes 'ġhālib'

    tamāshā-e-ahl-e-karam dekhte haiñ

    kisū ko za-ḳhud rasta kam dekhte haiñ

    ki aahū ko pāband-e-ram dekhte haiñ

    ḳhat-e-laḳht-e-dil yak-qalam dekhte haiñ

    mizha ko javāhar raqam dekhte haiñ

    jahāñ terā naqsh-e-qadam dekhte haiñ

    ḳhayābāñ ḳhayābāñ iram dekhte haiñ

    dil-āshuftagāñ ḳhāl-e-kunj-e-dahan ke

    suwaidā meñ sair-e-adam dekhte haiñ

    tere sarw-qāmat se ek qadd-e-ādam

    qayāmat ke fitne ko kam dekhte haiñ

    tamāshā ki ai mahw-e-āīna-dārī

    tujhe kis tamannā se hum dekhte haiñ

    surāġh-e-taf-e-nāla le dāġh-e-dil se

    ki shab-rau naqsh-e-qadam dekhte haiñ

    banā kar faqīroñ hum bhes 'ġhālib'

    tamāshā-e-ahl-e-karam dekhte haiñ

    kisū ko za-ḳhud rasta kam dekhte haiñ

    ki aahū ko pāband-e-ram dekhte haiñ

    ḳhat-e-laḳht-e-dil yak-qalam dekhte haiñ

    mizha ko jawāhar raqam dekhte haiñ

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now