jahan badla to badla tu bhi ai jaan-e-jahan badla
jahan badla to badla tu bhi ai jaan-e-jahan badla
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
jahāñ badlā to badlā tū bhī ai jān-e-jahāñ badlā
zamīñ badlī to badlī thī ġhazab hai āsmāñ badlā
mirī duniyā-e-dūñ ko tū ne ai pīr-e-muġhāñ badlā
qiyās ab ho gayā ’irfāñ tumhīñ se ab gumāñ badlā
tarīq-e-'ishq meñ go kārvāñ par kārvāñ badlā
na lekin rah-guzar badlī na mīr-e-kārvāñ badlā
rahā bār-e-amānat go vabāl-e-dosh raste bhar
na kandhā bhī magar ham ne tah-e-bār-e-garāñ badlā
karūñ kyā dil hai bā-sad zohd-o-taqvā mā.il-e-rindī
jibillat kyā badal saktī 'amal ko apne haañ badlā
na rah chhoḌī na ham ne naqsh-pā-e-rah-ravāñ chhoḌe
havā ke ruḳh pe ruḳh tū ne to gard-e-kārvāñ badlā
bahut go 'ishq meñ 'majzūb' badlā tum ne haal apne
magar jaisā badalnā chāhiye vaisā kahāñ badlā
jahan badla to badla tu bhi ai jaan-e-jahan badla
zamin badli to badli thi ghazab hai aasman badla
meri duniya-e-dun ko tu ne ai pir-e-mughan badla
qiyas ab ho gaya ’irfan tumhin se ab guman badla
tariq-e-'ishq mein go karwan par karwan badla
na lekin rah-guzar badli na mir-e-karwan badla
raha bar-e-amanat go wabaal-e-dosh raste bhar
na kandha bhi magar hum ne tah-e-bar-e-garan badla
karun kya dil hai ba-sad zohd-o-taqwa mail-e-rindi
jibillat kya badal sakti 'amal ko apne han badla
na rah chhoDi na hum ne naqsh-pa-e-rah-rawan chhoDe
hawa ke ruKH pe ruKH tu ne to gard-e-karwan badla
bahut go 'ishq mein 'majzub' badla tum ne haal apne
magar jaisa badalna chahiye waisa kahan badla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.