jahan mein jahan jis ko hum dekhte hain
jahāñ meñ jahāñ jis ko ham dekhte haiñ
tumhīñ ko tumhārī qasam dekhte haiñ
talab-gār tere ba-chashm-e-haqīqat
tamāshā-e-dair-o-haram dekhte haiñ
barābar haiñ gabro-musalmān ham ko
ziyāda kisī ko na kam dekhte haiñ
tere āshiqoñ ko na dozaḳh kā Dar hai
na hasrat se sū-e-iram dekhte haiñ
tabīboñ ne samjhā hai kyā ye tamāsha
merī nabz kyuuñ dam-ba-dam dekhte haiñ
nahīñ band hai bāb-e-ehsān 'vāris'
ham un kā barābar karam dekhte haiñ
laḌī hai kisī gul se kyā aañkh 'aughaT'
tumheñ muztar-o-chashm-e-nam dekhte haiñ
jahan mein jahan jis ko hum dekhte hain
tumhin ko tumhaari qasam dekhte hain
talab-gar tere ba-chashm-e-haqiqat
tamasha-e-dair-o-haram dekhte hain
barabar hain gabro-musalman hum ko
ziyaada kisi ko na kam dekhte hain
tere aashiqon ko na dozaKH ka Dar hai
na hasrat se su-e-iram dekhte hain
tabibon ne samjha hai kya ye tamasha
meri nabz kyun dam-ba-dam dekhte hain
nahin band hai bab-e-ehsan 'waris'
hum un ka barabar karam dekhte hain
laDi hai kisi gul se kya aankh 'aughaT'
tumhein muztar-o-chashm-e-nam dekhte hain
- Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 10)
- Author : Aughat Shah Warsi
- Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.