jahan sab humne chhan mara hasin-e-yakta tumhin ko dekha
jahān sab ham ne chhān maarā hasīn-e-yaktā tumhīñ ko dekhā
misāl paa.ī har ik hasīñ kī huzūr tum sā tumhīñ ko dekhā
kahīñ jhalak sī tumhārī dekhī kahīñ sarāpā tumhīñ ko dekhā
jidhar nazar kī qasam tumhārī to maiñ ne har-jā tumhīñ ko dekhā
jo naaz se tan ke us ne pūchhā ki tum ne dekhā hai ham se achchhā
to bol uTThā tan ke har bun-e-mū ki tum se achchhā tumhīñ ko dekhā
kahīñ pe mahjūb tum ko paayā kahīñ pe be-parda tum ko dekhā
nazar thī ma.anā meñ bhī tumhīñ par hue jo paidā tumhīñ ko dekhā
hazār minnat pe jān-e-ālam naqāb ulTī to ruḳh se aisī
nigāh laḌāte hī chhup ga.e phir hayā kā putlā tumhīñ ko dekhā
kisī ke dil ko ho mudda.ā tum kisī ke maqsad kisī ke armāñ
samā rahe ho har ik ke dil meñ ye sab kā jumla tumhīñ ko dekhā
tumhārā hai naam sab ke lab par khaTak tumhārī hai sab ke dil meñ
jahāñ ke pyāre tumhīñ ho pyāre jahāñ kā pyārā tumhīñ ko dekhā
agar qiyāmat meñ bhī vo pūchheñ ki merā ham-sar kisī ne dekhā
to sab se pahle ye bol uThūñgā tumhīñ ko dekhā tumhīñ ko dekhā
hazāroñ ġham kī balā.eñ 'ġhausī' jo maiñ ne jhelīñ to yuuñ vo bole
vafā meñ ham ne jo āzmāyā vafā meñ puurā tumhīñ ko dekhā
jahan sab hum ne chhan mara hasin-e-yakta tumhin ko dekha
misal pai har ek hasin ki huzur tum sa tumhin ko dekha
kahin jhalak si tumhaari dekhi kahin sarapa tumhin ko dekha
jidhar nazar ki qasam tumhaari to main ne har-ja tumhin ko dekha
jo naz se tan ke us ne puchha ki tum ne dekha hai hum se achchha
to bol uTTha tan ke har bun-e-mu ki tum se achchha tumhin ko dekha
kahin pe mahjub tum ko paya kahin pe be-parda tum ko dekha
nazar thi mana mein bhi tumhin par hue jo paida tumhin ko dekha
hazar minnat pe jaan-e-alam naqab ulTi to ruKH se aisi
nigah laDate hi chhup gae phir haya ka putla tumhin ko dekha
kisi ke dil ko ho muddaa tum kisi ke maqsad kisi ke arman
sama rahe ho har ek ke dil mein ye sab ka jumla tumhin ko dekha
tumhaara hai nam sab ke lab par khaTak tumhaari hai sab ke dil mein
jahan ke pyare tumhin ho pyare jahan ka pyara tumhin ko dekha
agar qiyamat mein bhi wo puchhen ki mera ham-sar kisi ne dekha
to sab se pahle ye bol uThunga tumhin ko dekha tumhin ko dekha
hazaron gham ki balaen 'ghausi' jo main ne jhelin to yun wo bole
wafa mein hum ne jo aazmaya wafa mein pura tumhin ko dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.