jala hi dega tifl-e-ashk daman-e-nazar apna
jala hi dega tifl-e-ashk daman-e-nazar apna
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
jalā hī degā tifl-e-ashk dāmān-e-nazar apnā
ki ik ātish kā par kaalā hai ye laḳht-e-jigar apnā
lagā de muñh se ḳhum saaqī ki haiñ muddat ke pyāse ham
na hogā halq bhī un shīsha-o-sāġhar se tar apnā
na be-dardī hai jaao nīm-bismil chhoḌ kar zālim
tire qurbān haañ ik aur bhī tīr-e-nazar apnā
ye dard ai bad-gumāñ kuchh dekhne kī chiiz agar hotī
maiñ rakh detā tire aage kaleja chiir kar apnā
bapā ik fitna-e-mahshr rahā karatā hai pahlū meñ
balā hai qahr hai aafat hai ye dil al-hazar apnā
nigāh uThtī hai mujh par bazm meñ kyuuñ baar baar un kī
bulānā to kahīñ un ko nahīñ madd-e-nazar apnā
kahīñ roke se ruktī hai ye jaulānī tabī'at kī
ki 'majzūb' āj-kal josh-e-junūñ hai zor par apnā
jala hi dega tifl-e-ashk daman-e-nazar apna
ki ek aatish ka par kala hai ye laKHt-e-jigar apna
laga de munh se KHum saqi ki hain muddat ke pyase hum
na hoga halq bhi un shisha-o-saghar se tar apna
na be-dardi hai jao nim-bismil chhoD kar zalim
tere qurban han ek aur bhi tir-e-nazar apna
ye dard ai bad-guman kuchh dekhne ki chiz agar hoti
main rakh deta tere aage kaleja chir kar apna
bapa ek fitna-e-mahshr raha karata hai pahlu mein
bala hai qahr hai aafat hai ye dil al-hazar apna
nigah uThti hai mujh par bazm mein kyun bar bar un ki
bulana to kahin un ko nahin madd-e-nazar apna
kahin roke se rukti hai ye jaulani tabi'at ki
ki 'majzub' aaj-kal josh-e-junun hai zor par apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.