furqat meñ ek dard mirā ham-nashīñ rahā
uTh bhī khaḌā huā to yahīñ kā yahīñ rahā
us but ne ek sajda na merā kiyā qubūl
Tiikā kalang kā mujhe dāġh-e-jabīñ rahā
dil se nikal ga.ī koī hasrat ki tan se jaañ
dekheñ to kaun pesh-e-dam-e-vāpasīñ rahā
uThe jo bazm-e-yār se tanhā ham aa.e ghar
tāqat kahīñ havās kahīñ dil kahīñ rahā
ġhusse meñ husn-e-yār ko sūjhī na.ī na.ī
gah abaruoñ pe bal kabhī chīñ-bar-jabīñ rahā
jā lipTā ḳhaak ho ke bhī dāman se yaar ke
kū-e-vafā meñ chaal koī maiñ nahīñ rahā
dil le ke mujh se yaar ne yuuñ kah diyā 'jalāl'
donoñ jahāñ meñ us kā Thikānā nahīñ rahā
furqat mein ek dard mera ham-nashin raha
uTh bhi khaDa hua to yahin ka yahin raha
us but ne ek sajda na mera kiya qubul
Tika kalang ka mujhe dagh-e-jabin raha
dil se nikal gai koi hasrat ki tan se jaan
dekhen to kaun pesh-e-dam-e-wapasin raha
uThe jo bazm-e-yar se tanha hum aae ghar
taqat kahin hawas kahin dil kahin raha
ghusse mein husn-e-yar ko sujhi nai nai
gah abaruon pe bal kabhi chin-bar-jabin raha
ja lipTa KHak ho ke bhi daman se yar ke
ku-e-wafa mein chaal koi main nahin raha
dil le ke mujh se yar ne yun kah diya 'jalal'
donon jahan mein us ka Thikana nahin raha
Source :
- Book : Asli Guldasta-e-Qawwali (Pg. 12)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.