kaleja tham kar jab dil dukhe fariyaad karte hain
kalejā thaam kar jab dil dukhe fariyād karte haiñ
butān-e-sañg-dil us dam ḳhudā ko yaad karte haiñ
taḌapte lauTte haiñ nāla-o-fariyād karte haiñ
ham apne bhūlne vaale ko yuuñ hī yaad karte haiñ
tumhārī be-vafā.ī ham na bhūle haiñ na bhūleñge
diyā hai vo sabaq tum ne ki aksar yaad karte haiñ
zarā milnā zarā khiñchnā zarā narmī zarā garmī
maze le-le ke vo 'ushshāq par be-dād karte haiñ
kise sadma nahīñ rañg-e-chaman kī be-sabātī kā
chaTakte haiñ jo ġhunche asl meñ fariyād karte haiñ
hamārī be-ḳhudī kā haal vo pūchheñ to ai qāsid
ye kahnā hosh itnā hai ki tum ko yaad karte haiñ
bane ma.ashūq jis din se kabhī fursat nahīñ hotī
sitam par vo sitam be-dād par be-dād karte haiñ
'jalīl' āsāñ nahīñ ābād karnā ghar mohabbat kā
ye un kā kaam hai jo zindagī barbād karte haiñ
kaleja tham kar jab dil dukhe fariyaad karte hain
butan-e-sang-dil us dam KHuda ko yaad karte hain
taDapte lauTte hain nala-o-fariyaad karte hain
hum apne bhulne wale ko yun hi yaad karte hain
tumhaari be-wafai hum na bhule hain na bhulenge
diya hai wo sabaq tum ne ki aksar yaad karte hain
zara milna zara khinchna zara narmi zara garmi
maze le-le ke wo 'ushshaq par be-dad karte hain
kise sadma nahin rang-e-chaman ki be-sabaati ka
chaTakte hain jo ghunche asl mein fariyaad karte hain
hamari be-KHudi ka haal wo puchhen to ai qasid
ye kahna hosh itna hai ki tum ko yaad karte hain
bane mashuq jis din se kabhi fursat nahin hoti
sitam par wo sitam be-dad par be-dad karte hain
'jalil' aasan nahin aabaad karna ghar mohabbat ka
ye un ka kaam hai jo zindagi barbaad karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.