naz bhi hota rahe hui hai be-dad bhi
naaz bhī hotā rahe huī hai be-dād bhī
sab gavāra hai jo tum sunte raho fariyād bhī
sach hai hotī hai burī mazlūm kī fariyād bhī
de ke bulbul ko chhurī phaḌkā kiyā sayyād bhī
vāqa.'ī kyā chiiz hai apnā dil-e-nāshād bhī
zikr-e-haq bhī hotā jaatā hai butoñ kī yaad bhī
tujh se mil kar o but-e-be-dard ye 'uqda khulā
bholī bhālī shakl vaale hote haiñ jallād bhī
ai chaman vaalo chaman se yuuñ guzarnā chāhiye
bāġhbāñ bhī ḳhush rahe raazī rahe sayyād bhī
sādgī hī sādgī mā'shūq meñ achchhī nahīñ
lutf meñ kuchh-kuchh jhalak detī rahe bedād bhī
tum jo kahte ho bigaḌ ke ham na ā.eñge kabhī
ye bhī kah do ab na aa.egī tumhārī yaad bhī
baaġh se jaane kahāñ detā hai ab lālach use
phāñs kar do chaar bulbul phañs gayā sayyād bhī
vaah kyā hasrat-kada dil thā tumhārā ai 'jalīl'
ho gayā do roz meñ ābād bhī barbād bhī
naz bhi hota rahe hui hai be-dad bhi
sab gawara hai jo tum sunte raho fariyaad bhi
sach hai hoti hai buri mazlum ki fariyaad bhi
de ke bulbul ko chhuri phaDka kiya sayyaad bhi
waqa'i kya chiz hai apna dil-e-nashad bhi
zikr-e-haq bhi hota jata hai buton ki yaad bhi
tujh se mil kar o but-e-be-dard ye 'uqda khula
bholi bhaali shakl wale hote hain jallad bhi
ai chaman walo chaman se yun guzarna chahiye
baghban bhi KHush rahe raazi rahe sayyaad bhi
sadgi hi sadgi ma'shuq mein achchhi nahin
lutf mein kuchh-kuchh jhalak deti rahe bedad bhi
tum jo kahte ho bigaD ke hum na aaenge kabhi
ye bhi kah do ab na aaegi tumhaari yaad bhi
bagh se jaane kahan deta hai ab lalach use
phans kar do chaar bulbul phans gaya sayyaad bhi
wah kya hasrat-kada dil tha tumhaara ai 'jalil'
ho gaya do roz mein aabaad bhi barbaad bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.