hijab aata hai un se nazar milane mein
hijāb aatā hai un se nazar milāne meñ
'ajīb lutf hai vā'doñ ke bhuul jaane meñ
abhī to aao Thahar zarā chale jaanā
lagegī der zarā hāl-e-dil sunāne meñ
mile na phuul to turbat pe muskurā denā
sunā hai phuul baraste haiñ muskurāne meñ
abhī bichhā.e the tinke ki gir paḌī bijlī
banānā thā ki lagī aag āshiyāne meñ
kabhī to merī mohabbat kā yaqīñ kar lo
kahīñ na 'umr guzar jaa.e āzmāne meñ
'jalīl' dil kī lagī kā 'ilāj ho na sakā
maiñ apnā daaġh dikhātā phirā zamāne meñ
hijab aata hai un se nazar milane mein
'ajib lutf hai wa'don ke bhul jaane mein
abhi to aao Thahar zara chale jaana
lagegi der zara haal-e-dil sunane mein
mile na phul to turbat pe muskura dena
suna hai phul baraste hain muskurane mein
abhi bichhae the tinke ki gir paDi bijli
banana tha ki lagi aag aashiyane mein
kabhi to meri mohabbat ka yaqin kar lo
kahin na 'umr guzar jae aazmane mein
'jalil' dil ki lagi ka 'ilaj ho na saka
main apna dagh dikhata phira zamane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.