jalwa-e-yar ne kuchh aisi ada pai hai
jalva-e-yār ne kuchh aisī adā paa.ī hai
har jhalak ek nayā da.vā-e-yaktā.ī hai
mar miTe ham vo abhī mahv-e-ḳhud-ārā.ī hai
us ke qurbān jo kHāmosh-e-tamāshā.ī hai
zaḳhm-e-dil ho ga.e phir unkī ināyat se hare
mere gulshan meñ phir ik taaza bahār aa.ī hai
mai Tapaktī hai nigāhoñ se mere saaqī kī
chashm-e-bad duur ajab mast nazar paa.ī hai
baḌh ga.ī chīn-e-jabīñ se mere dil kī dhaḌkan
unkī ḳhafagī meñ bhī andāz-e-masīhā.ī hai
log muñh-māñgī murādoñ kī duā karte haiñ
ham ne har chiiz talab se bhī sivā paa.ī hai
miT bhī jaa.e ye kahīñ tālib-o-matlūb kā farq
us ke aage na tamannā na tamannā.ī hai
aap ke jitne gile haiñ mere sar āñkhoñ par
baat par baat mujhe bhī koī yaad aa.ī hai
terī ḳhātir kahūñ yā pās-e-adab se maiñ ne
umr-bhar tohmat-e-hastī kī sazā paa.ī hai
ishq meñ chal nahīñ saktī hai samajh buujh kī baat
tere dīvāne ko ab itnī samajh aa.ī hai
aap ke husn kī har vaqt na.ī shaan khulī
jab kabhī dil ne koī choT na.ī khaa.ī hai
aap se mujh ko agar rabt nahīñ hai koī
ye kashish kyā hai yahāñ tak jo mujhe laa.ī hai
do hayātoñ ke hai mābain ajal kā vaqfa
maut sustā.ī huī ziist kī añgḌā.ī hai
apne qadmoñ se judā kar ke tamāsha na banā
terā 'kāmil' tirā banda tirā shaidā.ī hai
jalwa-e-yar ne kuchh aisi ada pai hai
har jhalak ek naya dawa-e-yaktai hai
mar miTe hum wo abhi mahw-e-KHud-arai hai
us ke qurban jo kHamosh-e-tamashai hai
zaKHm-e-dil ho gae phir unki inayat se hare
mere gulshan mein phir ek taza bahaar aai hai
mai Tapakti hai nigahon se mere saqi ki
chashm-e-bad dur ajab mast nazar pai hai
baDh gai chin-e-jabin se mere dil ki dhaDkan
unki KHafagi mein bhi andaz-e-masihai hai
log munh-mangi muradon ki dua karte hain
hum ne har chiz talab se bhi siwa pai hai
miT bhi jae ye kahin talib-o-matlub ka farq
us ke aage na tamanna na tamannai hai
aap ke jitne gile hain mere sar aankhon par
baat par baat mujhe bhi koi yaad aai hai
teri KHatir kahun ya pas-e-adab se main ne
umr-bhar tohmat-e-hasti ki saza pai hai
ishq mein chal nahin sakti hai samajh bujh ki baat
tere diwane ko ab itni samajh aai hai
aap ke husn ki har waqt nai shan khuli
jab kabhi dil ne koi choT nai khai hai
aap se mujh ko agar rabt nahin hai koi
ye kashish kya hai yahan tak jo mujhe lai hai
do hayaton ke hai mabain ajal ka waqfa
maut sustai hui zist ki angDai hai
apne qadmon se juda kar ke tamasha na bana
tera 'kaamil' tera banda tera shaidai hai
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 201)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.