jamal-e-yar har su jalwa-gar hai
jamāl-e-yār har sū jalva-gar hai
jidhar dekhā vahī pesh-e-nazar hai
kabhī āñkhoñ meñ vo nūr-e-nazar hai
kabhī dekhā to dil meñ jalva-gar hai
dil-e-pur-dāġh hai raushan hamārā
jo vo māh-e-dil-ārā jalva-gar hai
mirī bigḌī hu.vī qismat banā de
ḳhudāyā tere qabze meñ qadar hai
na aa.e vo dam-e-ākHir na aa.eñ
ḳhudā par marne vaale kī nazar hai
hamārī ḳhaak hai vo ḳhaak 'mohsin'
'alī kā nuur jis meñ jalva-gar hai
jamal-e-yar har su jalwa-gar hai
jidhar dekha wahi pesh-e-nazar hai
kabhi aankhon mein wo nur-e-nazar hai
kabhi dekha to dil mein jalwa-gar hai
dil-e-pur-dagh hai raushan hamara
jo wo mah-e-dil-ara jalwa-gar hai
meri bigDi huwi qismat bana de
KHudaya tere qabze mein qadar hai
na aae wo dam-e-akHir na aaen
KHuda par marne wale ki nazar hai
hamari KHak hai wo KHak 'mohsin'
'ali ka nur jis mein jalwa-gar hai
- Book : Kulliyat-e-Mohsin
- Author : Shah Mohsin Danapuri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.