aap se mil ke hum kuchh badal se gae sher paDhne lage gungunane lage

aap se mil ke hum kuchh badal se gae sher paDhne lage gungunane lage
Jawed Akhtar
MORE BYJawed Akhtar
aap se mil ke ham kuchh badal se ga.e she'r paḌhne lage gungunāne lage
pahle mash.hūr thī apnī sanjīdgī ab to jab dekhiye muskurāne lage
ham ko logoñ se milne kā kab shauq thā mahfil-ārā.ī kā kab hameñ zauq thā
aap ke vāste ham ne ye bhī kiyā milne-julne lage āne-jāne lage
ham ne jab aap kī dekhīñ dilchaspiyāñ ā.ga.īñ chand ham meñ bhī tabdīliyāñ
ik musavvir se bhī ho ga.ī dostī aur ġhazleñ bhī sunñe-sunāne lage
aap ke baare meñ pūchh baiThā koī kyā kahīñ ham se kyā bad-havāsī huī
kahne vaalī jo thī baat ho na sakī baat jo thī chhupānī batāne lage
'ishq be-ghar kare 'ishq be-dar kare 'ishq kā sach hai koī Thikānā nahīñ
ham jo kal tak Thikāne ke the aadmī aap se mil ke kaise Thikāne lage
aap se mil ke hum kuchh badal se gae she'r paDhne lage gungunane lage
pahle mashhur thi apni sanjidgi ab to jab dekhiye muskurane lage
hum ko logon se milne ka kab shauq tha mahfil-arai ka kab hamein zauq tha
aap ke waste hum ne ye bhi kiya milne-julne lage aane-jaane lage
hum ne jab aap ki dekhin dilchaspiyan aagain chand hum mein bhi tabdiliyan
ek musawwir se bhi ho gai dosti aur ghazlen bhi sunne-sunane lage
aap ke bare mein puchh baiTha koi kya kahin hum se kya bad-hawasi hui
kahne wali jo thi baat ho na saki baat jo thi chhupani batane lage
'ishq be-ghar kare 'ishq be-dar kare 'ishq ka sach hai koi Thikana nahin
hum jo kal tak Thikane ke the aadmi aap se mil ke kaise Thikane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.