aalam ho ye masti ka jab sajda mein sar jae
'ālam ho ye mastī kā jab sajda meñ sar jaa.e
mastoñ kī balā jaane shaam aa.e sahar jaa.e
ye dair-o-haram vaale kyuuñ raah meñ laḌte haiñ
jab ek hī manzil tak har rāh-e-guzar jaa.e
ye dil kā safīna bhī parvarda-e-tūfāñ hai
Takrā ke talātum se Duube to ubhar jaa.e
taqdīr chamak uThe un ḳhāk-nashīnoñ kī
tū jin ko mohabbat se Thukrā ke guzar jaa.e
baiThe jo tire dar par muñh moḌ ke duniyā se
vo uTh ke tire dar se jaa.e to kidhar jaa.e
aañsū bhī haiñ shabnam bhī kaliyāñ bhī haiñ taare bhī
sab kuchh hai nazāroñ tak gar terī nazar jaa.e
'jāved' kahī tum ne ash’ār ke parde meñ
vo baat jo nashtar-sī har dil meñ utar jaa.e
'alam ho ye masti ka jab sajda mein sar jae
maston ki bala jaane sham aae sahar jae
ye dair-o-haram wale kyun rah mein laDte hain
jab ek hi manzil tak har rah-e-guzar jae
ye dil ka safina bhi parwarda-e-tufan hai
Takra ke talatum se Dube to ubhar jae
taqdir chamak uThe un KHak-nashinon ki
tu jin ko mohabbat se Thukra ke guzar jae
baiThe jo tere dar par munh moD ke duniya se
wo uTh ke tere dar se jae to kidhar jae
aansu bhi hain shabnam bhi kaliyan bhi hain tare bhi
sab kuchh hai nazaron tak gar teri nazar jae
'jawed' kahi tum ne ash’ar ke parde mein
wo baat jo nashtar-si har dil mein utar jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.