jhuka ke sar tere aastan par mujhe har ek muddaa mila hai
jhuka ke sar tere aastan par mujhe har ek muddaa mila hai
Fana Bulandshahri
MORE BYFana Bulandshahri
jhukā ke sar tere āstāñ par mujhe har ik mudda'ā milā hai
terī galī chhoḌ duuñ maiñ kaise terī galī se ḳhudā milā hai
ġharaz haram se na but-kada se ki maz.hab hai bāda-noshī
ye merī qismat hai mere saaqī mujhe terā mai-kada milā hai
gunahgārī ye rañg laa.ī huī jo mujh pe terī navāzish
mere gunāhoñ se mere aaqā tere karam kā patā milā hai
jhukā hai sar shauq-e-bandagī meñ vahīñ pe maiñ ne kiye haiñ sajde
vahīñ paḌhī hai namāz-e-ulfat jahāñ terā naqsh-e-pā milā hai
hai 'ishq donoñ jahāñ se afzal ki 'ishq kī ’azmateñ na pūchho
banā rahe 'āshiqī meñ mujh ko ḳhudī miTā kar ḳhudā milā hai
jhuka ke sar tere aastan par mujhe har ek mudda'a mila hai
teri gali chhoD dun main kaise teri gali se KHuda mila hai
gharaz haram se na but-kada se ki mazhab hai baada-noshi
ye meri qismat hai mere saqi mujhe tera mai-kada mila hai
gunahgari ye rang lai hui jo mujh pe teri nawazish
mere gunahon se mere aaqa tere karam ka pata mila hai
jhuka hai sar shauq-e-bandagi mein wahin pe main ne kiye hain sajde
wahin paDhi hai namaz-e-ulfat jahan tera naqsh-e-pa mila hai
hai 'ishq donon jahan se afzal ki 'ishq ki ’azmaten na puchho
bana rahe 'ashiqi mein mujh ko KHudi miTa kar KHuda mila hai
- Book : Kulliyat-e-Fana Bulandshahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.