rind jo mujhko samajhte hain unhen hosh nahin
riñd jo mujh ko samajhte haiñ unheñ hosh nahīñ
maiñ mai-kada saaz huuñ maiñ mai-kada bardosh nahīñ
kaun sā jalva yahāñ aate hī behosh nahīñ
dil mirā dil hai koī sāġhar-e-sar josh nahīñ
husn se 'ishq judā hai na judā 'ishq se husn
kaun sī shai hai jo āġhosh-dar-āġhosh nahīñ
miT chuke zehn se sab yād-e-guzishta ke nuqūsh
phir bhī ik chiiz hai aisī ki farāmosh nahīñ
kabhī un mad-bharī āñkhoñ se piyā thā ik jaam
aaj tak hosh nahīñ hosh nahīñ hosh nahīñ
'ishq gar husn ke jalvoñ kā hai marhūn-e-karam
husn bhī 'ishq ke ehsāñ se subuk-dosh nahīñ
mahv-e-tasbīh to sab haiñ magar idrāk kahāñ
zindagī ḳhud hī 'ibādat hai magar hosh nahīñ
mil ke ik baar gayā to hai koī jis se 'jigar'
mujh ko ye vahm hai jaise vo har āġhosh nahīñ
rind jo mujh ko samajhte hain unhen hosh nahin
main mai-kada saz hun main mai-kada bardosh nahin
kaun sa jalwa yahan aate hi behosh nahin
dil mera dil hai koi saghar-e-sar josh nahin
husn se 'ishq juda hai na juda 'ishq se husn
kaun si shai hai jo aaghosh-dar-aghosh nahin
miT chuke zehn se sab yaad-e-guzishta ke nuqush
phir bhi ek chiz hai aisi ki faramosh nahin
kabhi un mad-bhari aankhon se piya tha ek jam
aaj tak hosh nahin hosh nahin hosh nahin
'ishq gar husn ke jalwon ka hai marhun-e-karam
husn bhi 'ishq ke ehsan se subuk-dosh nahin
mahw-e-tasbih to sab hain magar idrak kahan
zindagi KHud hi 'ibaadat hai magar hosh nahin
mil ke ek bar gaya to hai koi jis se 'jigar'
mujh ko ye wahm hai jaise wo har aaghosh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.