jalwa ba-qadr-e-zarf nazar dekhte rahe
jalva ba-qadr-e-zarf nazar dekhte rahe
kyā dekhte ham un ko magar dekhte rahe
apnā hī 'aks pesh-e-nazar dekhte rahe
ā.īna rū-ba-rū thā jidhar dekhte rahe
un kī harīm-e-nāz kahāñ aur ham kahāñ
naqsh-o-nigār parda-e-dar dekhte rahe
aisī bhī kuchh firāq kī rāteñ guzar ga.iiñ
jaise unhī ko pesh-e-nazar dekhte rahe
har lahza shān-e-husn badaltī rahī 'jigar'
har aan ham jahān-e-digar dekhte rahe
jalwa ba-qadr-e-zarf nazar dekhte rahe
kya dekhte hum un ko magar dekhte rahe
apna hi 'aks pesh-e-nazar dekhte rahe
aaina ru-ba-ru tha jidhar dekhte rahe
un ki harim-e-naz kahan aur hum kahan
naqsh-o-nigar parda-e-dar dekhte rahe
aisi bhi kuchh firaq ki raaten guzar gain
jaise unhi ko pesh-e-nazar dekhte rahe
har lahza shan-e-husn badalti rahi 'jigar'
har aan hum jahan-e-digar dekhte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.