jin rātoñ meñ niiñd uḌ jaatī hai kyā qahr kī rāteñ hotī haiñ
darvāzoñ se Takrā jaate haiñ dīvāroñ se bāteñ hotī haiñ
āshob-e-judā.ī kyā kahiye anhonī bāteñ hotī haiñ
āñkhoñ meñ añdherā chhātā hai jab ujyālī rāteñ hotī haiñ
jab vo nahii. hote pahlū meñ aur lambī rāteñ hotī haiñ
yaad aa ke satātī rahtī hai aur dil se bāteñ hotī haiñ
ghir-ghir ke bādal aate haiñ aur be-barse khul jaate haiñ
ummīdoñ kī jhūTī duniyā meñ sūkhī barsāteñ hotī haiñ
ummīd kā sūraj Duubā hai āñkhoñ meñ añdherā chhāyā hai
duniyā-e-firāq meñ din kaisā rāteñ hī rāteñ hotī haiñ
tai karnā haiñ jhagḌe jiine ke jis tarah bane kahte sunte
bahroñ se bhī paalā paḌtā hai gūñgoñ se bhī bāteñ hotī haiñ
āñkhoñ meñ kahāñ ras kī būñdeñ kuchh hai to lahūñ kī laalī hai
is badlī huī rut meñ ab to ḳhūnīñ barsāteñ hotī haiñ
qismat jaage to ham so.eñ qismat so.e to ham jāgeñ
donoñ hī ko niiñd aa.e jis meñ kab aisī rāteñ hotī haiñ
jo kaan lagā kar sunte haiñ kyā jāneñ rumūz mohabbat ke
ab hoñT nahii. hilne paate haiñ aur pahroñ bāteñ hotī haiñ
hañsne meñ jo aañsū aate haiñ nairañg-e-jahāñ batlāte haiñ
har-ros janāze jaate haiñ har-ros barāteñ hotī haiñ
jo kuchh bhī ḳhushī se hotā hai ye dil kā bojh na ban jaa.e
paimān-e-vafā bhī rahne do sab jhūTī bāteñ hotī haiñ
himmat kis kī hai jo pūchhe ye 'ārzū' saudā.ī se
kyuuñ sāhib āḳhir akele meñ ye kis se bāteñ hotī haiñ
jin raaton mein nind uD jati hai kya qahr ki raaten hoti hain
darwazon se Takra jate hain diwaron se baaten hoti hain
aashob-e-judai kya kahiye anhoni baaten hoti hain
aankhon mein andhera chhata hai jab ujyali raaten hoti hain
jab wo nahi hote pahlu mein aur lambi raaten hoti hain
yaad aa ke satati rahti hai aur dil se baaten hoti hain
ghir-ghir ke baadal aate hain aur be-barse khul jate hain
ummidon ki jhuTi duniya mein sukhi barsaten hoti hain
ummid ka suraj Duba hai aankhon mein andhera chhaya hai
duniya-e-firaq mein din kaisa raaten hi raaten hoti hain
tai karna hain jhagDe jine ke jis tarah bane kahte sunte
bahron se bhi pala paDta hai gungon se bhi baaten hoti hain
aankhon mein kahan ras ki bunden kuchh hai to lahun ki lali hai
is badli hui rut mein ab to KHunin barsaten hoti hain
qismat jage to hum soen qismat soe to hum jagen
donon hi ko nind aae jis mein kab aisi raaten hoti hain
jo kan laga kar sunte hain kya jaanen rumuz mohabbat ke
ab honT nahi hilne pate hain aur pahron baaten hoti hain
hansne mein jo aansu aate hain nairang-e-jahan batlate hain
har-ros janaze jate hain har-ros baraaten hoti hain
jo kuchh bhi KHushi se hota hai ye dil ka bojh na ban jae
paiman-e-wafa bhi rahne do sab jhuTi baaten hoti hain
himmat kis ki hai jo puchhe ye 'arzu' saudai se
kyun sahib aaKHir akele mein ye kis se baaten hoti hain
Videos This video is playing from YouTube
Unknown
Source :
Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 233)
Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.