jis din ko sajan bichhDe hain tis din ka dil bimar hoya
jis din ko sājan bichhḌe haiñ tis din kā dil bīmār hoyā
ab kaThin banā kyā fikr karūñ ghar-bār sabhī bīmār hoyā
din-rāt tamām ārām nahīñ ab shaam paḌī vo shaam nahīñ
vo saaqī sāhab jaan nahīñ ab piinā mai dushvār hoyā
bin jaanī jaan ḳharāb bahī bā-ātish-e-shauq kabāb bahī
joñ maahī bahr-e-be-āb bahī nit rūdan saath bīmār hoyā
mujhe pī apne ko liyāo re yā mujh suuñ pī pahuñchāo re
ye agan firāq bujhāo re sab tan-man jal añgār hoyā
tab majnūñ kā mel hoyā thā jab lailā kah kar royā thā
vo yak-dam sej na soyā thā ab lag nek shumār hoyā
so maiñ ab majnūñ vaar bahī pardesh bides ḳhvār bahī
is pī apne ki yaar bahī ab merā bhī e'tibār hoyā
jab 'vāris' shaah kahlāyā ne tab ruuh suuñ ruuh milāyā ne
tab sej suhāg sulāyā ne jīv-jān maḳhzan asrār hoyā
jis din ko sajan bichhDe hain tis din ka dil bimar hoya
ab kaThin bana kya fikr karun ghar-bar sabhi bimar hoya
din-raat tamam aaram nahin ab sham paDi wo sham nahin
wo saqi sahab jaan nahin ab pina mai dushwar hoya
bin jaani jaan KHarab bahi ba-atish-e-shauq kabab bahi
jon mahi bahr-e-be-ab bahi nit rudan sath bimar hoya
mujhe pi apne ko liyao re ya mujh sun pi pahunchao re
ye agan firaq bujhao re sab tan-man jal angar hoya
tab majnun ka mel hoya tha jab laila kah kar roya tha
wo yak-dam sej na soya tha ab lag nek shumar hoya
so main ab majnun war bahi pardesh bides KHwar bahi
is pi apne ki yar bahi ab mera bhi e'tibar hoya
jab 'waris' shah kahlaya ne tab ruh sun ruh milaya ne
tab sej suhag sulaya ne jiw-jaan maKHzan asrar hoya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.