jis ne koi yusuf koi yaqub banaya
jis ne koī yūsuf koī yāqūb banāyā
us ne mujhe tālib tujhe matlūb banāyā
baḳhshī hai usī ne to mujhe terī mohabbat
pyāre mire jis ne tujhe mahbūb banāyā
ham ko to nazar paḌtī hai sab ḳhūbī isī kī
jis ne tujhe ḳhūboñ meñ bahut kHuub banāyā
kahte ho judā.ī meñ karo sabr hamārī
kyā dil ko mire aap ne ayyūb banāyā
jis din se maiñ chāhā use sharmāne lagā vo
shoḳhī ne mire yaar ko mahjūb banāyā
zāhid ko usī chiiz se duniyā meñ hai nafrat
allāh ne jis chiiz ko marġhūb banāyā
sūrat ko mirī dekh 'turāb' us ne kahā kal
yuuñ 'ishq ne kis ke tujhe majzūb banāyā
jis ne koi yusuf koi yaqub banaya
us ne mujhe talib tujhe matlub banaya
baKHshi hai usi ne to mujhe teri mohabbat
pyare mere jis ne tujhe mahbub banaya
hum ko to nazar paDti hai sab KHubi isi ki
jis ne tujhe KHubon mein bahut kHub banaya
kahte ho judai mein karo sabr hamari
kya dil ko mere aap ne ayyub banaya
jis din se main chaha use sharmane laga wo
shoKHi ne mere yar ko mahjub banaya
zahid ko usi chiz se duniya mein hai nafrat
allah ne jis chiz ko marghub banaya
surat ko meri dekh 'turab' us ne kaha kal
yun 'ishq ne kis ke tujhe majzub banaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.