jise log kahte hain tirgi wahi shab hijab-e-sahar bhi hai
jise log kahte hain tirgi wahi shab hijab-e-sahar bhi hai
Firaq Gorakhpuri
MORE BYFiraq Gorakhpuri
jise log kahte haiñ tīrgī vahī shab hijāb-e-sahar bhī hai
jinheñ be-ḳhudī fanā milī unheñ zindagī kī ḳhabar bhī hai
ye visāl-o-hijr kī bahs kyā ki 'ajīb chiiz hai 'ishq bhī
tujhe pā ke hai vahī dard-e-dil vahī rañg-e-zaḳhm-e-jigar bhī hai
dam-e-hashr-e-azal kī bhī yaad kar ye zabān kyā ye nigāh kyā
jo kisī se aaj na ho sakā vo savāl bār-e-digar bhī hai
tū makāñ zamāñ se guzar bhī jā tū rah-e-'adam ko bhī kaaT le
vo savāb ho ki 'azāb ho kahīñ zindagī se mafar bhī hai
na ġham savāb-o-'azāb se kabhī chheḌ fitrat-e-'ishq ko
jo azal se mast-nigāh hai use nek-o-bad kī ḳhabar bhī hai
tire ġham kī 'umr-e-drāz meñ ka.ī inqilāb hue magar
vahī tūl-e-sham-e'-'firāq' hai vahī intizār-e-sahar bhī hai
jise log kahte hain tirgi wahi shab hijab-e-sahar bhi hai
jinhen be-KHudi fana mili unhen zindagi ki KHabar bhi hai
ye visal-o-hijr ki bahs kya ki 'ajib chiz hai 'ishq bhi
tujhe pa ke hai wahi dard-e-dil wahi rang-e-zaKHm-e-jigar bhi hai
dam-e-hashr-e-azal ki bhi yaad kar ye zaban kya ye nigah kya
jo kisi se aaj na ho saka wo sawal bar-e-digar bhi hai
tu makan zaman se guzar bhi ja tu rah-e-'adam ko bhi kaT le
wo sawab ho ki 'azab ho kahin zindagi se mafar bhi hai
na gham sawab-o-'azab se kabhi chheD fitrat-e-'ishq ko
jo azal se mast-nigah hai use nek-o-bad ki KHabar bhi hai
tere gham ki 'umr-e-draaz mein kai inqilab hue magar
wahi tul-e-sham-e'-'firaq' hai wahi intizar-e-sahar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.