jo bahaar aai mere gulshan-e-jaan se aai
jo bahār aa.ī mere gulshan-e-jāñ se aa.ī
ḳhaak ke Dher meñ ye baat kahāñ se aa.ī
vo nazar hai jo musharraf hai ruḳh-e-sāqī se
vo ḳhabar hai jo dar-e-pīr-e-muġhāñ se aa.ī
ishq manzil pe faqat rāh-e-yaqīñ se pahuñchā
aql nākām rahī vahm-o-gumāñ se aa.ī
ishq-e-ġham aur ḳhushī ek samajh baiThā hai
tere hañsne kī jo āvāz fuġhāñ se aa.ī
rañg-o-bū husn-o-javānī meñ hai a.alam sarshār
tere aane kī ḳhabar kaun-o-makāñ se aa.ī
ḳhaak huuñ paak huuñ adnā bhī huuñ a.alā bhī 'zahīn'
ḳhud pahuñch jā.egī jo chiiz jahāñ se aa.ī
jo bahaar aai mere gulshan-e-jaan se aai
KHak ke Dher mein ye baat kahan se aai
wo nazar hai jo musharraf hai ruKH-e-saqi se
wo KHabar hai jo dar-e-pir-e-mughan se aai
ishq manzil pe faqat rah-e-yaqin se pahuncha
aql nakaam rahi wahm-o-guman se aai
ishq-e-gham aur KHushi ek samajh baiTha hai
tere hansne ki jo aawaz fughan se aai
rang-o-bu husn-o-jawani mein hai aalam sarshaar
tere aane ki KHabar kaun-o-makan se aai
KHak hun pak hun adna bhi hun aala bhi 'zahin'
KHud pahunch jaegi jo chiz jahan se aai
- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 165)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.