jo chahe ki kaht-o-waba dur ho
Interesting Fact
قحط اور بلا کے دوران لکھی گئی غزل جو اکثر افراد بلا سے محفوظ رہنے کے لیے اسے پڑھتے ہیں۔
jo chāhe ki kaht-o-vabā duur ho
paḌhe yā valī-yul-valā duur ho
vabā aatī hai shāmat-e-fisq se
karo tauba māñgo du'ā duur ho
jahāñ meñ havā ḳhvāh-e-sehat haiñ sab
ilāhī vabā kī havā duur ho
nuzūl-e-balā hai bahut in dinoñ
karam se tire har balā duur ho
ba-haqq-e-mohammad ’alaihissalām
yahāñ se vabā-o-fajā duur ho
jidhar jaate haiñ sunte haiñ haaye haaye
ilāhī ye saut-o-sadā duur ho
rahe jo sadā paas tere 'turāb'
tū us se na bahr-e-ḳhudā duur ho
jo chahe ki kaht-o-waba dur ho
paDhe ya wali-yul-wala dur ho
waba aati hai shamat-e-fisq se
karo tauba mango du'a dur ho
jahan mein hawa KHwah-e-sehat hain sab
ilahi waba ki hawa dur ho
nuzul-e-bala hai bahut in dinon
karam se tere har bala dur ho
ba-haqq-e-mohammad ’alaihissalam
yahan se waba-o-faja dur ho
jidhar jate hain sunte hain haye haye
ilahi ye saut-o-sada dur ho
rahe jo sada pas tere 'turab'
tu us se na bahr-e-KHuda dur ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.