jo hain aashna sirr-e-asrar ke
jo haiñ āshnā sirr-e-asrār ke
vo haiñ yaar har yār-o-aġhyār ke
añdherā ujālā nihāñ aur 'ayāñ
ye jalve haiñ sab jalva-e-yār ke
bahār-o-ḳhizāñ ham pe hai ek-sāñ
kabhī yār-e-gul haiñ kabhī ḳhaar ke
idhar kī nahīñ jānte rasm-o-rāh
mīyāñ ham to bāshinde haiñ paar ke
binā toḌ hastī kī le ganj-e-vasl
baḌā ganj hai zer dīvār ke
kahāñ se kahāñ le ke pahuñchā ye dil
malā.ik jahāñ se rahe haar ke
nahīñ qais-o-farhād sā maiñ 'niyāz'
ki huuñ gard-o-sahra-o-kuhsār ke
jo hain aashna sirr-e-asrar ke
wo hain yar har yar-o-aghyar ke
andhera ujala nihan aur 'ayan
ye jalwe hain sab jalwa-e-yar ke
bahaar-o-KHizan hum pe hai ek-san
kabhi yar-e-gul hain kabhi KHar ke
idhar ki nahin jaante rasm-o-rah
miyan hum to bashinde hain par ke
bina toD hasti ki le ganj-e-wasl
baDa ganj hai zer diwar ke
kahan se kahan le ke pahuncha ye dil
malaik jahan se rahe haar ke
nahin qais-o-farhad sa main 'niyaz'
ki hun gard-o-sahra-o-kuhsar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.