jo hum aae to botal kyun alag pir-e-mughan rakh di
jo ham aa.e to botal kyuuñ alag pīr-e-muġhāñ rakh dī
purānī dostī bhī taaq meñ ai mehrbāñ rakh dī
nazar muddat se thī ai shaiḳh jin par mai-faroshoñ kī
vo dastār-e-fazīlat rehn maiñ ne mehrbāñ rakh dī
ḳhudā ke haath hai milnā na milnā mai kā ai saaqī
barābar masjid-e-jāme ke ab maiñ ne dukāñ rakh dī
ye a.alam hai 'riyāz' ek ek qatra ko tarastā huuñ
haram meñ ab ḳhudā jaane bharī botal kahāñ rakh dī
jo hum aae to botal kyun alag pir-e-mughan rakh di
purani dosti bhi taq mein ai mehrban rakh di
nazar muddat se thi ai shaiKH jin par mai-faroshon ki
wo dastar-e-fazilat rehn main ne mehrban rakh di
KHuda ke hath hai milna na milna mai ka ai saqi
barabar masjid-e-jame ke ab main ne dukan rakh di
ye aalam hai 'riyaz' ek ek qatra ko tarasta hun
haram mein ab KHuda jaane bhari botal kahan rakh di
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 231)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.