jo jalwa-gah-e-yar hai wo dil yahi to hai
jo jalva-gāh-e-yār hai vo dil yahī to hai
ham jis jagah haiñ husn kī manzil yahī to hai
ḳhud ko na dekhnā hai tujhe dekhne kī shart
jo darmiyāñ hijāb hai haa.il yahī to hai
har zarra dil-fareb hai har jalva jāñ-navāz
har gaam par gumāñ hai ye manzil yahī to hai
halkī sī ek mauj-e-tabassum meñ bah gayā
jo bahar-e-be-kanār thā vo dil yahī to hai
ab har adā-e-husn pe hotā hai ye gumāñ
jo luuT le ga.ī hai mirā dil yahī to hai
dil mujh se kah rahā hai tire dil kī baat bhī
ā.īna ā.īne ke muqābil yahī to hai
donoñ jahāñ ko terī mohabbat meñ bhūlnā
ik baat yaad rakhne ke qābil yahī to hai
ai dosto 'zahīn' ko pahchāntā huuñ maiñ
sab se alag jo sab meñ hai shāmil yahī to hai
jo jalwa-gah-e-yar hai wo dil yahi to hai
hum jis jagah hain husn ki manzil yahi to hai
KHud ko na dekhna hai tujhe dekhne ki shart
jo darmiyan hijab hai hail yahi to hai
har zarra dil-fareb hai har jalwa jaan-nawaz
har gam par guman hai ye manzil yahi to hai
halki si ek mauj-e-tabassum mein bah gaya
jo bahar-e-be-kanar tha wo dil yahi to hai
ab har ada-e-husn pe hota hai ye guman
jo luT le gai hai mera dil yahi to hai
dil mujh se kah raha hai tere dil ki baat bhi
aaina aaine ke muqabil yahi to hai
donon jahan ko teri mohabbat mein bhulna
ek baat yaad rakhne ke qabil yahi to hai
ai dosto 'zahin' ko pahchanta hun main
sab se alag jo sab mein hai shamil yahi to hai
- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 177)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.