jo main jaanti bisrat hain saiyyan
jo maiñ jāntī bisrat haiñ saiyyāñ
jo maiñ jāntī bisarat haiñ saiyyāñ ghūñghaTā meñ aag lagā detī
maiñ laaj ke bandhan toḌ sakhī piyā pyaar ko apne manā letī
in chūriyoñ kī laaj piyā rakhānā ye to pahan la.ī ab utarat nā
morā bhaag suhāg tuma.ī se hai maiñ to tum hī par jobanā luTā baiThī
more hār-siñgār kī raat ga.ī piyu sañg umañg kī baat ga.ī
piyu sañg umañg merī aas na.ī
ab aa.e na more sāñvariyā maiñ to tan-man un par luTā detī
ghar aa.e na more sāñvariyā maiñ to tan-man un par luTā detī
mohe priit kī riit na bhaa.ī sakhī maiñ to ban ke dulhan pachhtā.ī sakhī
hotī na agar duniyā kī sharam maiñ to bhej ke patiyāñ bulā letī
unheñ bhej ke sakhiyāñ bulā letī
jo maiñ jāntī bisrat haiñ sayyāñ
jo main jaanti bisrat hain saiyyan
jo main jaanti bisarat hain saiyyan ghunghaTa mein aag laga deti
main laj ke bandhan toD sakhi piya pyar ko apne mana leti
in churiyon ki laj piya rakhana ye to pahan lai ab utarat na
mora bhag suhag tumai se hai main to tum hi par jobana luTa baiThi
more haar-singar ki raat gai piyu sang umang ki baat gai
piyu sang umang meri aas nai
ab aae na more sanwariya main to tan-man un par luTa deti
ghar aae na more sanwariya main to tan-man un par luTa deti
mohe prit ki rit na bhai sakhi main to ban ke dulhan pachhtai sakhi
hoti na agar duniya ki sharam main to bhej ke patiyan bula leti
unhen bhej ke sakhiyan bula leti
jo main jaanti bisrat hain sayyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.