jo rah-e-’ishq mein gum ho gaya hai
Interesting Fact
ناز خیالوی کے معروف کلام ’’تم اک گورکھ دھندا ہو‘‘ میں بہ طور گرہ جو اشعار نصرت فتح علی خان نے پڑھے ہیں وہ سبھی اشعار ناز کے نہیں ہیں بلکہ ان میں کچھ خادم اجمیری کے کلام کے چند اشعار ہیں، یہ کلام بھی معمولی تفاوت کے ساتھ مذکورہ بالا کلام میں بہ طور گری پڑھا گیا ہے۔
jo rāh-e-'ishq meñ gum ho gayā hai
usī kho.e hue ko kuchh milā hai
'adam ban kar kahīñ vo chhup gayā hai
kahīñ vo hast ho kar barmalā hai
ḳhayāloñ meñ jise paatā huuñ maujūd
use ma.adūm kahnā kab ravā hai
nahīñ hai vo to phir inkār kis kā
nafī meñ bhī pata us kā milā hai
nahīñ aayā ḳhayāloñ meñ agar vo
to ham ne kaise jaanā vo ḳhudā hai
maiñ jis ko kah rahā huuñ apnī hastī
agar vo tū nahīñ to aur kyā hai
samajhtā thā judā jo ḳhud se ḳhud ko
ab us ne ḳhud meñ ḳhud ko pā liyā hai
kahāñ tū DhūñDhtā phirtā hai 'ḳhādim'
dil hī meñ tere dil kā mudda'ā hai
jo rah-e-'ishq mein gum ho gaya hai
usi khoe hue ko kuchh mila hai
'adam ban kar kahin wo chhup gaya hai
kahin wo hast ho kar barmala hai
KHayalon mein jise pata hun maujud
use madum kahna kab rawa hai
nahin hai wo to phir inkar kis ka
nafi mein bhi pata us ka mila hai
nahin aaya KHayalon mein agar wo
to hum ne kaise jaana wo KHuda hai
main jis ko kah raha hun apni hasti
agar wo tu nahin to aur kya hai
samajhta tha juda jo KHud se KHud ko
ab us ne KHud mein KHud ko pa liya hai
kahan tu DhunDhta phirta hai 'KHadim'
dil hi mein tere dil ka mudda'a hai
- Book : Majmua-e-Khadim
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.