dilā ab un ko mirā kuchh ḳhayāl hai ki nahīñ
jo pūchhte haiñ tabī.at bahāl hai ki nahīñ
baḌhā ke zulf ulajhtī ho tum na kahte the
tumhīñ kaho ye balā ab vabāl hai ki nahīñ
kal āte-āte mire ghar ga.e raqīb ke paas
huzūr aap hī kah deñ ye chaal hai ki nahīñ
jo mantiqī koī miltā to pūchhte ye baat
dahān-e-yār meñ kuchh qīl-o-qāl hai ki nahīñ
kisī se baat tumheñ ai butoñ na karnī thī
kaho barā.e-ḳhudā ye kamāl hai ki nahīñ
ḳharāb donoñ-jahāñ meñ hai mubtalā us kā
ḳhudā kā qahr butoñ kā jamāl hai ki nahīñ
raqīb le lab-e-lā۔lain yaar kā bosa
ye baat qābil-e-ranj-o-malāl hai ki nahīñ
jo kHush-kHirām-e-husain gāliyāñ sunāte haiñ
ab un se josh-e-hazīñ bol-chāl hai ki nahīñ
dila ab un ko mera kuchh KHayal hai ki nahin
jo puchhte hain tabiat bahaal hai ki nahin
baDha ke zulf ulajhti ho tum na kahte the
tumhin kaho ye bala ab wabaal hai ki nahin
kal aate-ate mere ghar gae raqib ke pas
huzur aap hi kah den ye chaal hai ki nahin
jo mantiqi koi milta to puchhte ye baat
dahan-e-yar mein kuchh qil-o-qal hai ki nahin
kisi se baat tumhein ai buton na karni thi
kaho barae-KHuda ye kamal hai ki nahin
KHarab donon-jahan mein hai mubtala us ka
KHuda ka qahr buton ka jamal hai ki nahin
raqib le lab-e-la۔lain yar ka bosa
ye baat qabil-e-ranj-o-malal hai ki nahin
jo kHush-kHiram-e-husain galiyan sunate hain
ab un se josh-e-hazin bol-chaal hai ki nahin
Source :
- Book : Asli Guldasta-e-Qawwali (Pg. 23)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.