main din-o-dil ishq hun iman-e-tamanna
maiñ dīn-o-dil 'ishq huuñ īmān-e-tamannā
utrā hai mirī ruuh pe qur.ān-e-tamannā
ik harf bhī dhoyā na gayā vaqt se ab tak
kyā baat hai ai kātib-e-dīvān-e-tamannā
jab tak ki mohabbat kī hai duniyā ko zarūrat
dast-e-man dīvāna-o-dāmān-e-tamannā
har shab mirī sarkār meñ aate haiñ farishte
hāthoñ pe liye sham-e’-farozān-e-tamannā
mumkin ho to sirf ek nazar hāl-e-gadā par
ai shaah dil-e-’ālam-o-sultān-e-tamannā
ik 'josh' kā dil hī nahīñ ḳhud go-e-do-'ālam
ġhaltīda hai pesh-e-ḳham chaugān-e-tamannā
main din-o-dil 'ishq hun iman-e-tamanna
utra hai meri ruh pe quran-e-tamanna
ek harf bhi dhoya na gaya waqt se ab tak
kya baat hai ai katib-e-diwan-e-tamanna
jab tak ki mohabbat ki hai duniya ko zarurat
dast-e-man diwana-o-daman-e-tamanna
har shab meri sarkar mein aate hain farishte
hathon pe liye sham-e’-farozan-e-tamanna
mumkin ho to sirf ek nazar haal-e-gada par
ai shah dil-e-’alam-o-sultan-e-tamanna
ek 'josh' ka dil hi nahin KHud go-e-do-'alam
ghaltida hai pesh-e-KHam chaugan-e-tamanna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.