Sufinama

junun se kuchh nahin chaara kare kya qais bechaara

Shah Turab Ali Qalandar

junun se kuchh nahin chaara kare kya qais bechaara

Shah Turab Ali Qalandar

MORE BYShah Turab Ali Qalandar

    junūñ se kuchh nahīñ chāra kare kyā qais bechāra

    barahna-pā barahna-sar phire hai ban meñ āvāra

    na rotā hai na hañstā hai na kuchh kahtā na suntā hai

    sharāb-e-ishq-e-lailā se huā mad.hosh yak-bārā

    mohabbat jab huī ġhālib nahīñ chhuptī chhupāne se

    fuġhān-o-āh-o-nāla hai tire āshiq naqqārā

    vo us qadr kyā jaane ḳhudā-hāfiz maiñ Dartā huuñ

    paḌā hai haath meñ laḌke ke mere dil sīpāra

    hamāre mashrab-o-mazhab se zāhid ko ḳhabar kyā hai

    vo tifl-e-shīr-ḳhvāra hai use hujra hai gahvārā

    uThā le aañkh se merī nāseh āstīñ apnī

    karegā tujh ko tar dāman mire aañsū favvāra

    vo dil par mere dhar ke haath uf kar ke lagā kahne

    huā hai ishq garmī se terā dil to añgāra

    'turāb' us shaḳhs ko ham nek-o-ḳhush-auqāt kahte haiñ

    ḳhudā yaad meñ jis ke kaTe auqāt hamvāra

    junun se kuchh nahin chaara kare kya qais bechaara

    barahna-pa barahna-sar phire hai ban mein aawara

    na rota hai na hansta hai na kuchh kahta na sunta hai

    sharab-e-ishq-e-laila se hua madhosh yak-bara

    mohabbat jab hui ghaalib nahin chhupti chhupane se

    fughan-o-ah-o-nala hai tere aashiq ka naqqara

    wo us ki qadr kya jaane KHuda-hafiz main Darta hun

    paDa hai hath mein laDke ke mere dil ka sipara

    hamare mashrab-o-mazhab se zahid ko KHabar kya hai

    wo tifl-e-shir-KHwara hai use hujra hai gahwara

    uTha le aankh se meri tu naseh aastin apni

    karega tujh ko tar daman mere aansu ka fawwara

    wo dil par mere dhar ke hath uf kar ke laga kahne

    hua hai ishq ki garmi se tera dil to angara

    'turab' us shaKHs ko hum nek-o-KHush-auqat kahte hain

    KHuda ki yaad mein jis ke kaTe auqat hamwara

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now