Sufinama

kī wafā humse to ġhair isko jafā kahte haiñ

Mirza Ghalib

kī wafā humse to ġhair isko jafā kahte haiñ

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    vafā ham se to ġhair is ko jafā kahte haiñ

    hotī aa.ī hai ki achchhoñ ko burā kahte haiñ

    aaj ham apnī pareshāni-e-ḳhātir un se

    kahne jaate to haiñ par dekhiye kyā kahte haiñ

    agle vaqtoñ ke haiñ ye log inheñ kuchh na kaho

    jo mai o naġhma ko andoh-rubā kahte haiñ

    dil meñ aa jaa.e hai hotī hai jo fursat ġhash se

    aur phir kaun se naale ko rasā kahte haiñ

    hai par-e-sarhad-e-idrāk se apnā masjūd

    qible ko ahl-e-nazar qibla-numā kahte haiñ

    pā-e-afgār pe jab se tujhe rahm aayā hai

    ḳhār-e-rah ko tire ham mehr-e-giyā kahte haiñ

    ik sharar dil meñ hai us se koī ghabrā.egā kyā

    aag matlūb hai ham ko jo havā kahte haiñ

    dekhiye laatī hai us shoḳh naḳhvat kyā rañg

    us har baat pe ham nām-e-ḳhudā kahte haiñ

    'vahshat' o 'sheftā' ab marsiya kahveñ shāyad

    mar gayā 'ġhālib'-e-āshufta-navā kahte haiñ

    wafā hum se to ġhair is ko jafā kahte haiñ

    hotī aaī hai ki achchhoñ ko burā kahte haiñ

    aaj hum apnī pareshāni-e-ḳhātir un se

    kahne jate to haiñ par dekhiye kyā kahte haiñ

    agle waqtoñ ke haiñ ye log inheñ kuchh na kaho

    jo mai o naġhma ko andoh-rubā kahte haiñ

    dil meñ aa jae hai hotī hai jo fursat ġhash se

    aur phir kaun se nale ko rasā kahte haiñ

    hai par-e-sarhad-e-idrāk se apnā masjūd

    qible ko ahl-e-nazar qibla-numā kahte haiñ

    pā-e-afgār pe jab se tujhe rahm aayā hai

    ḳhār-e-rah ko tere hum mehr-e-giyā kahte haiñ

    ek sharar dil meñ hai us se koī ghabrāegā kyā

    aag matlūb hai hum ko jo hawā kahte haiñ

    dekhiye latī hai us shoḳh naḳhwat kyā rañg

    us har baat pe hum nām-e-ḳhudā kahte haiñ

    'wahshat' o 'sheftā' ab marsiya kahweñ shāyad

    mar gayā 'ġhālib'-e-āshufta-nawā kahte haiñ

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now