kafir-e-ishq hun main banda-e-islam nahin
kafir-e-ishq hun main banda-e-islam nahin
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
kāfir-e-ishq huuñ maiñ banda-e-islām nahīñ
but-parastī ke sivā aur mujhe kaam nahīñ
ishq meñ pūjtā huuñ qibla-o-ka.aba apnā
ek pal dil ko mire us ke bin ārām nahīñ
DhūñDhtā hai tū kidhar yaar ko mere ai maah
manzilash dar dil-e-mā hasat lab-e-bām nahīñ
bul-havas ishq ko tū ḳhāna-e-ḳhālī mat buujh
is kā āġhāz to āsān hai anjām nahīñ
phāñsne ko dil-e-ushshāq ke ulfat bas hai
gher lene ko ye tasḳhīr kam-az-dām nahīñ
kaam ho jaa.e tamām us kā paḌe jis pe nigāh
tishna-e-chashm ko phir hājat-e-samsām nahīñ
abr hai jaam hai miinā hai mai-e-gul-gūñ hai
hai sab asbāb-e-tarab sāqī-e-gulfām nahīñ
hāye-re-hāye chalī jaatī hai ye fasl-e-bahār
kyā karūñ bas nahīñ apnā vo sanam raam nahīñ
jaan jaatī hai chalī dekh ke ye mausam-e-gul
hijar-o-furqat kā mirī jaan ye gulfām nahīñ
dil ke lene hī talak mehr kī thī ham pe nigāh
phir jo dekhā to ba-juz ġhussa-o-dushnām nahīñ
rāt-din ġham se tire hijar ke laḌtā hai 'niyāz'
ye dil-āzārī mirī jaan bhalā kaam nahīñ
kafir-e-ishq hun main banda-e-islam nahin
but-parasti ke siwa aur mujhe kaam nahin
ishq mein pujta hun qibla-o-kaba apna
ek pal dil ko mere us ke bin aaram nahin
DhunDhta hai tu kidhar yar ko mere ai mah
manzilash dar dil-e-ma hasat lab-e-baam nahin
bul-hawas ishq ko tu KHana-e-KHali mat bujh
is ka aaghaz to aasan hai anjam nahin
phansne ko dil-e-ushshaq ke ulfat bas hai
gher lene ko ye tasKHir kam-az-dam nahin
kaam ho jae tamam us ka paDe jis pe nigah
tishna-e-chashm ko phir hajat-e-samsam nahin
abr hai jam hai mina hai mai-e-gul-gun hai
hai sab asbab-e-tarab saqi-e-gulfam nahin
haye-re-haye chali jati hai ye fasl-e-bahaar
kya karun bas nahin apna wo sanam ram nahin
jaan jati hai chali dekh ke ye mausam-e-gul
hijar-o-furqat ka meri jaan ye gulfam nahin
dil ke lene hi talak mehr ki thi hum pe nigah
phir jo dekha to ba-juz ghussa-o-dushnam nahin
raat-din gham se tere hijar ke laDta hai 'niyaz'
ye dil-azari meri jaan bhala kaam nahin
- Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 148)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.