Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kahe ko biyahe bides

Amir Khusrau

kahe ko biyahe bides

Amir Khusrau

MORE BYAmir Khusrau

    kaahe ko biyāhe bides

    are lakhiyā bābul more kaahe ko biyāhe bides

    bhaiyyā ko diyo bābul mahle do-mahle

    ham ko diyo pardes are lakhiyā bābul more

    kaahe ko biyāhe bides

    ham to bābul tore khūñTe gayāñ

    jit hāñke hañk jaa.eñ are lakhiyā bābul more

    kaahe ko biyāhe bides

    ham to bābul tore bele kaliyāñ

    ghar-ghar māñge haiñ jaa.eñ are lakhiyā bābul more

    kaahe ko biyāhe bides

    koThe tale se palakiyā jo niklī

    berin ne khaa.ī pachhāḌ are lakhiyā bābul more

    kaahe ko biyāhe bides

    ham to haiñ bābul tore pinjre chiḌiyāñ

    bhor bhaye uḌ jaa.eñ are lakhiyā bābul more

    kaahe ko biyāhe bides

    tāroñ bharī maiñ ne guḌiyā jo chhoḌī

    chhūTā sahelī saath are lakhiyā bābul more

    kaahe ko biyāhe bides

    Dolī parda uThā ke jo dekhā

    aayā piyā des are lakhiyā bābul more

    kaahe ko biyāhe bides

    are lakhiyā bābul more

    kaahe ko biyāhe bides are lakhiyā bābul more

    kahe ko biyahe bides

    are lakhiya babul more kahe ko biyahe bides

    bhaiyya ko diyo babul mahle do-mahle

    hum ko diyo pardes are lakhiya babul more

    kahe ko biyahe bides

    hum to babul tore khunTe ki gayan

    jit hanke hank jaen are lakhiya babul more

    kahe ko biyahe bides

    hum to babul tore bele ki kaliyan

    ghar-ghar mange hain jaen are lakhiya babul more

    kahe ko biyahe bides

    koThe tale se palakiya jo nikli

    berin ne khai pachhaD are lakhiya babul more

    kahe ko biyahe bides

    hum to hain babul tore pinjre ki chiDiyan

    bhor bhaye uD jaen are lakhiya babul more

    kahe ko biyahe bides

    taron bhari main ne guDiya jo chhoDi

    chhuTa saheli ka sath are lakhiya babul more

    kahe ko biyahe bides

    Doli ka parda uTha ke jo dekha

    aaya piya ka des are lakhiya babul more

    kahe ko biyahe bides

    are lakhiya babul more

    kahe ko biyahe bides are lakhiya babul more

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now