kali kali zulfon ke phande na Dalo
bhuul ho jaatī hai yuuñ taish meñ aayā na karo
fāsle ḳhatm karo baat baḌhāyā na karo
ye nigāheñ ye ishāre ye adā.eñ tauba
in sharāboñ ko sar-e-'ām luTāyā na karo
shaam gahrī ho to kuchh aur hasīñ hotī hai
sāya-e-zulf ko chehre se haTāyā na karo
kaalī kaalī zulfoñ ke phande na Daalo
hameñ zinda rahne do ai husn vaalo
na chheḌo hameñ ham satā.e hue haiñ
bahut zaḳhm siine pe khaa.e hue haiñ
sitam-gar ho tum ḳhuub pahchānte haiñ
tumhārī adāoñ ko ham jānte haiñ
daġhā-bāz ho tum sitam Dhāne vaale
fareb-e-mohabbat meñ uljhāne vaale
ye rañgīñ kahānī tumhī ko mubārak
tumhārī javānī tumhī ko mubārak
hamārī taraf se nigāheñ haTā lo
kaalī kaalī zulfoñ ke phande na Daalo
hameñ zinda rahne do ai husn vaalo
zanjīr meñ zulfoñ kī phañs jaane ko kyā kahiye
dīvāna merā dil hai dīvāne ko kyā kahiye
sambhālo zarā apnā āñchal gulābī
dikhāo na hañs-hañs ke āñkheñ sharābī
sulūk un kā duniyā meñ achchhā nahīñ hai
hasīnoñ pe ham ko bharosa nahīñ hai
uThāte haiñ nazreñ to girtī haiñ bijlī
adā jo bhī niklī qayāmat hī niklī
jahāñ tum ne chehre se āñchal haTāyā
vahīñ ahl-e-dil ko tamāsha banāyā
kaalī kaalī zulfoñ ke phande na Daalo
hameñ zinda rahne do ai husn vaalo
ḳhudā ke liye ham pe Dore na Daalo
hameñ zinda rahne do ai husn vaalo
āvāra huī jaatī hai zulfoñ ko sambhālo
dil merā ulajh jā.egā ye jaal na Daalo
kaalī kaalī zulfoñ ke phande na Daalo
hameñ zinda rahne do ai husn vaalo
apnī is zulf-e-pareshāñ ko sambhālo varna
aise gustāḳh ko ham chuum liyā karte haiñ
kaalī kaalī zulfoñ ke phande na Daalo
hameñ zinda rahne do ai husn vaalo
uljhā hai paañv yaar kā zulf-e-darāz meñ
lo aap apne daam meñ sayyād aa ga.e
kaalī kaalī zulfoñ ke phande na Daalo
hameñ zinda rahne do ai husn vaalo
sadā vaar karte ho teġh-e-vafā kā
bahāte ho tum ḳhuun ahl-e-vafā kā
ye nāgin sī zulfeñ ye zahrīlī nazreñ
vo paanī na māñge ye jis ko Das le
vo luT jaa.e jo tum se dil ko lagā le
phir hasratoñ kā janāza uThā.e
hai mā'lūm ham ko tumhārī haqīqat
mohabbat ke parde meñ karte ho nafrat
kahīñ aur jā ke adā.eñ uchhālo
kaalī kaalī zulfoñ ke phande na Daalo
hameñ zinda rahne do ai husn vaalo
ye jhūTī numā.ish ye jhūTī banāvaT
fareb-e-nazar hai nazar kī lagāvaT
ye sumbul se gesū ye 'āriz gulābī
zamāne milā.eñge ik din ḳharābī
'fanā' ham ko kar de na ye muskurānā
adā kāfirāna chalan zālimāna
dikhāo na ye ishva-o-nāz ham ko
kisī aur par zulf kā jaal Daalo
sikhāo na ulfat ke andāz ham ko
kaalī kaalī zulfoñ ke phande na Daalo
hameñ zinda rahne do ai husn vaalo
apnī zulfoñ kā parda banā lījiye
husn-e-ma.asūm ab fitna-gar ho gayā
palkeñ gir jā.eñgī Dor jal jā.egā
ruḳh tumhārī nazar kā jidhar ho gayā
kaalī kaalī zulfoñ ke phande na Daalo
hameñ zinda rahne do ai husn vaalo
bhul ho jati hai yun taish mein aaya na karo
fasle KHatm karo baat baDhaya na karo
ye nigahen ye ishaare ye adaen tauba
in sharabon ko sar-e-'am luTaya na karo
sham gahri ho to kuchh aur hasin hoti hai
saya-e-zulf ko chehre se haTaya na karo
kali kali zulfon ke phande na Dalo
hamein zinda rahne do ai husn walo
na chheDo hamein hum satae hue hain
bahut zaKHm sine pe khae hue hain
sitam-gar ho tum KHub pahchante hain
tumhaari adaon ko hum jaante hain
dagha-baz ho tum sitam Dhane wale
fareb-e-mohabbat mein uljhane wale
ye rangin kahani tumhi ko mubarak
tumhaari jawani tumhi ko mubarak
hamari taraf se nigahen haTa lo
kali kali zulfon ke phande na Dalo
hamein zinda rahne do ai husn walo
zanjir mein zulfon ki phans jaane ko kya kahiye
diwana mera dil hai diwane ko kya kahiye
sambhaalo zara apna aanchal gulabi
dikhao na hans-hans ke aankhen sharabi
suluk un ka duniya mein achchha nahin hai
hasinon pe hum ko bharosa nahin hai
uThate hain nazren to girti hain bijli
ada jo bhi nikli qayamat hi nikli
jahan tum ne chehre se aanchal haTaya
wahin ahl-e-dil ko tamasha banaya
kali kali zulfon ke phande na Dalo
hamein zinda rahne do ai husn walo
KHuda ke liye hum pe Dore na Dalo
hamein zinda rahne do ai husn walo
aawara hui jati hai zulfon ko sambhaalo
dil mera ulajh jaega ye jal na Dalo
kali kali zulfon ke phande na Dalo
hamein zinda rahne do ai husn walo
apni is zulf-e-pareshan ko sambhaalo warna
aise gustaKH ko hum chum liya karte hain
kali kali zulfon ke phande na Dalo
hamein zinda rahne do ai husn walo
uljha hai panw yar ka zulf-e-daraaz mein
lo aap apne dam mein sayyaad aa gae
kali kali zulfon ke phande na Dalo
hamein zinda rahne do ai husn walo
sada war karte ho tegh-e-wafa ka
bahate ho tum KHun ahl-e-wafa ka
ye nagin si zulfen ye zahrili nazren
wo pani na mange ye jis ko Das le
wo luT jae jo tum se dil ko laga le
phir hasraton ka janaza uThae
hai ma'lum hum ko tumhaari haqiqat
mohabbat ke parde mein karte ho nafrat
kahin aur ja ke adaen uchhaalo
kali kali zulfon ke phande na Dalo
hamein zinda rahne do ai husn walo
ye jhuTi numaish ye jhuTi banawaT
fareb-e-nazar hai nazar ki lagawaT
ye sumbul se gesu ye 'ariz gulabi
zamane milaenge ek din KHarabi
'fana' hum ko kar de na ye muskurana
ada kafirana chalan zalimana
dikhao na ye ishwa-o-naz hum ko
kisi aur par zulf ka jal Dalo
sikhao na ulfat ke andaz hum ko
kali kali zulfon ke phande na Dalo
hamein zinda rahne do ai husn walo
apni zulfon ka parda bana lijiye
husn-e-masum ab fitna-gar ho gaya
palken gir jaengi Dor jal jaega
ruKH tumhaari nazar ka jidhar ho gaya
kali kali zulfon ke phande na Dalo
hamein zinda rahne do ai husn walo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.