Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kab wo suntā hai kahānī merī

Mirza Ghalib

kab wo suntā hai kahānī merī

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    kab vo suntā hai kahānī merī

    aur phir vo bhī zabānī merī

    ḳhalish-e-ġhamza-e-ḳhūñ-rez na pūchh

    dekh ḳhūnāba-fishānī merī

    kyā bayāñ kar ke mirā ro.eñge yaar

    magar āshufta-bayānī merī

    huuñ za-ḳhud rafta-e-baidā-e-ḳhayāl

    bhuul jaanā hai nishānī merī

    mutaqābil hai muqābil merā

    ruk gayā dekh ravānī merī

    qadr-e-sañg-e-sar-e-rah rakhtā huuñ

    saḳht arzāñ hai girānī merī

    gard-bād-e-rah-e-betābī huuñ

    sarsar-e-shauq hai baanī merī

    dahan us jo na mālūm huā

    khul ga.ī hech madānī merī

    kar diyā zo.af ne aajiz 'ġhālib'

    nañg-e-pīrī hai javānī merī

    kab wo suntā hai kahānī merī

    aur phir wo bhī zabānī merī

    ḳhalish-e-ġhamza-e-ḳhūñ-rez na pūchh

    dekh ḳhūnāba-fishānī merī

    kyā bayāñ kar ke mirā roeñge yar

    magar āshufta-bayānī merī

    huñ za-ḳhud rafta-e-baidā-e-ḳhayāl

    bhul jaanā hai nishānī merī

    mutaqābil hai muqābil merā

    ruk gayā dekh rawānī merī

    qadr-e-sañg-e-sar-e-rah rakhtā huñ

    saḳht arzāñ hai girānī merī

    gard-bād-e-rah-e-betābī huñ

    sarsar-e-shauq hai banī merī

    dahan us jo na mālūm huā

    khul gaī hech madānī merī

    kar diyā zoaf ne aajiz 'ġhālib'

    nañg-e-pīrī hai jawānī merī

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now