kahāñ le jā.ūñ dil donoñ jahāñ meñ saḳht mushkil hai
yahāñ pariyoñ kā majma.a hai vahāñ hūroñ kī mahfil hai
ilāhī kaisī kaisī sūrateñ tuune banā.ī haiñ
ki har sūrat kalejā se lagā lene ke qābil hai
liyā lete hī shīsha kī tarah patthar pe de paTkā
maiñ kahtā rah gayā zālim merā dil hai mirā dil hai
jo dekhā aks ā.īna meñ apnā bole jhuñjhlā kar
are haT kaun hai tū sāmne se kyuuñ muqābil hai
mirī turbat pe ik Thokar lagā.ī aur ye farmāyā
qiyāmat ā-ga.ī uTh sone vaale kaisā ġhāfil hai
hazāroñ dil masal kar paañv se jhuñjhlā ke farmāyā
lo pahchāno tumhārā in diloñ meñ kaun sā dil hai
savāl-e-bosa par kyuuñ jhiḌkiyāñ dete ho 'akbar' ko
falā-tanhar kalām-ul-lāh meñ az bahr-e-sā.il hai
kahan le jaun dil donon jahan mein saKHt mushkil hai
yahan pariyon ka majma hai wahan huron ki mahfil hai
ilahi kaisi kaisi suraten tune banai hain
ki har surat kaleja se laga lene ke qabil hai
liya lete hi shisha ki tarah patthar pe de paTka
main kahta rah gaya zalim mera dil hai mera dil hai
jo dekha aks aaina mein apna bole jhunjhla kar
are haT kaun hai tu samne se kyun muqabil hai
meri turbat pe ek Thokar lagai aur ye farmaya
qiyamat aa-gai uTh sone wale kaisa ghafil hai
hazaron dil masal kar panw se jhunjhla ke farmaya
lo pahchano tumhaara in dilon mein kaun sa dil hai
sawal-e-bosa par kyun jhiDkiyan dete ho 'akbar' ko
fala-tanhar kalam-ul-lah mein az bahr-e-sail hai
Source :
- Book : Asli Guldasta-e-Qawwali (Pg. 12)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.