kahun dost se dost ki baat kya kya
kahūñ dost se dost kī baat kyā kyā
rahī dushmanoñ se mulāqāt kyā kyā
vo ishve vo ġhamze vo naġhme vo jalve
talab kar rahe haiñ ham āfāt kyā kyā
jahāñ mujh ko aayā ḳhayāl aa gaye vo
dikhā.ī haiñ dil ne karāmāt kyā kyā
na thī guftugū-e-darmiyāñ phir bhī un se
pas-parda-e-dil huī baat kyā kyā
tirī zulf-o-ruḳhsār ke dhuup saa.e
mujhe yaad aate haiñ din raat kyā kyā
ye hichkī ye aañsū ye aaheñ ye naale
milī haiñ mohabbat meñ sauġhāt kyā kyā
ulaT kar naqāb-e-sifātī jo dekhā
'zahīn' aap the jalva-e-zāt kyā kyā
kahun dost se dost ki baat kya kya
rahi dushmanoñ se mulaqat kya kya
wo ishwe wo ghamze wo naghme wo jalwe
talab kar rahe hain hum aafat kya kya
jahan mujh ko aaya KHayal aa gaye wo
dikhai hain dil ne karamat kya kya
na thi guftugu-e-darmiyan phir bhi un se
pas-parda-e-dil hui baat kya kya
teri zulf-o-ruKHsar ke dhup sae
mujhe yaad aate hain din raat kya kya
ye hichki ye aansu ye aahen ye nale
mili hain mohabbat mein saughat kya kya
ulaT kar naqab-e-sifati jo dekha
'zahin' aap the jalwa-e-zat kya kya
- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 39)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.