kahun kaise sakhi mohe laj lage mohe pi ki najariya mar gai
kahūñ kaise sakhī mohe laaj lage mohe pī kī najariyā maar ga.ī
maiñ ne laaj kā ghūñghaT toḌ diyā piyā jiit ga.e maiñ haar ga.ī
sakhī jab se piyā sañg nain laḌe morā chain gayā morī niiñd ga.ī
mohe sudh na rahī apne tan kī maiñ to jīvan apnā haar ga.ī
din rain torā dekhūñ sapnā morī priit kī laaj piyā rakhnā
morā sab kuchh tum hī to ho sajnā maiñ to sab kuchh apnā vaar ga.ī
ab aao piyā aa bhī jaao sundar mukhḌā dikhlā jaao
kyuuñ apne sa'īd se rūThe ho maiñ to raah takat torī haar ga.ī
sājan pe maiñ vārūñ tan man dhan morā bhaag suhāg morā joban
mohe jab bhī huā piyo kā darshan sakhī bhuul maiñ haar siñghār ga.ī
mohe sapne meñ jab aa.e sajnāñ sakhī thaam liyo morī bahiyāñ
kuchh kah na sakī maiñ chup hī rahī piyā jiit ga.e maiñ haar ga.ī
kahun kaise sakhi mohe laj lage mohe pi ki najariya mar gai
main ne laj ka ghunghaT toD diya piya jit gae main haar gai
sakhi jab se piya sang nain laDe mora chain gaya mori nind gai
mohe sudh na rahi apne tan ki main to jiwan apna haar gai
din rain tora dekhun sapna mori prit ki laj piya rakhna
mora sab kuchh tum hi to ho sajna main to sab kuchh apna war gai
ab aao piya aa bhi jao sundar mukhDa dikhla jao
kyun apne sa'id se ruThe ho main to rah takat tori haar gai
sajan pe main warun tan man dhan mora bhag suhag mora joban
mohe jab bhi hua piyo ka darshan sakhi bhul main haar singhaar gai
mohe sapne mein jab aae sajnan sakhi tham liyo mori bahiyan
kuchh kah na saki main chup hi rahi piya jit gae main haar gai
- Book : Kalaam-e-Manzoor (Pg. 126)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.