hai tu hi jis ne luTa hai sab jaanta hun main
hai tū hī jis ne luuTā hai sab jāntā huuñ maiñ
lākhoñ meñ terī shakl ko pahchāntā huuñ maiñ
hai zindagī visāl tirā maut hai firāq
har do ko sirf terī adā jāntā huuñ maiñ
duniyā ke inqalāb zamāne kī karvaTeñ
shikneñ jabīñ hī kī haiñ tirī jāntā huuñ maiñ
suntā huuñ jo bhī naam samajhtā huuñ terā naam
terā hī ek naam faqat jāntā huuñ maiñ
dīd-e-ḳhudā ke shor se pahuñchā maiñ tere ghar
tere hī āstāñ kā patā jāntā huuñ maiñ
ka.aba thā yā vo but-kada us kī ḳhabar nahīñ
sajda kiyā hai aap ko ye jāntā huuñ maiñ
ai 'kaif' mujh se chhupne kī koshish fuzūl hai
tū kaun hai kahāñ hai ye sab jāntā huuñ maiñ
hai tu hi jis ne luTa hai sab jaanta hun main
lakhon mein teri shakl ko pahchanta hun main
hai zindagi visal tera maut hai firaq
har do ko sirf teri ada jaanta hun main
duniya ke inqalab zamane ki karwaTen
shiknen jabin hi ki hain teri jaanta hun main
sunta hun jo bhi nam samajhta hun tera nam
tera hi ek nam faqat jaanta hun main
did-e-KHuda ke shor se pahuncha main tere ghar
tere hi aastan ka pata jaanta hun main
kaba tha ya wo but-kada us ki KHabar nahin
sajda kiya hai aap ko ye jaanta hun main
ai 'kaif' mujh se chhupne ki koshish fuzul hai
tu kaun hai kahan hai ye sab jaanta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.