husn ko hairat se tere dekhta jata hun main
husn ko hairat se tere dekhtā jaatā huuñ maiñ
dekh kar tujh ko ḳhudā ko māntā jaatā huuñ maiñ
tum ḳhayāloñ meñ base ho phir kisī kā kyā ḳhayāl
rafta-rafta kul jahāñ ko bhūltā jaatā huuñ maiñ
is qadar khoyā huuñ chehre ke tasavvur meñ tire
dhīre-dhīre apnī sūrat bhūltā jaatā huuñ maiñ
ḳhauf hai vā'iz kahīñ kāfir na Thahrā de mujhe
chupke-chupke ek but ko pūjtā jaatā huuñ maiñ
dil liyā phir jaan lī īmān bhī chhīnā mirā
luT rahā huuñ bebasī se dekhtā jaatā huuñ maiñ
'ishq kī baazī hai is meñ haar bhī ik jiit hai
jiitā jaatā huuñ jūñ-jūñ hārtā jaatā huuñ maiñ
aañkh ke sāġhar meñ terī ġharq hai saarā jahāñ
aur inhīñ gahrā.iyoñ meñ Dūbtā jaatā huuñ maiñ
khul ga.e asrār sab jab miT ga.ī apnī anā
donoñ 'ālam apne andar dekhtā jaatā huuñ maiñ
chashm-e-sāqī ke asar se ab sarāpā 'kaif' huuñ
be-piye hī har qadam par jhūmtā jaatā huuñ maiñ
husn ko hairat se tere dekhta jata hun main
dekh kar tujh ko KHuda ko manta jata hun main
tum KHayalon mein base ho phir kisi ka kya KHayal
rafta-rafta kul jahan ko bhulta jata hun main
is qadar khoya hun chehre ke tasawwur mein tere
dhire-dhire apni surat bhulta jata hun main
KHauf hai wa'iz kahin kafir na Thahra de mujhe
chupke-chupke ek but ko pujta jata hun main
dil liya phir jaan li iman bhi chhina mera
luT raha hun bebasi se dekhta jata hun main
'ishq ki bazi hai is mein haar bhi ek jit hai
jita jata hun jun-jun haarta jata hun main
aankh ke saghar mein teri gharq hai sara jahan
aur inhin gahraiyon mein Dubta jata hun main
khul gae asrar sab jab miT gai apni ana
donon 'alam apne andar dekhta jata hun main
chashm-e-saqi ke asar se ab sarapa 'kaif' hun
be-piye hi har qadam par jhumta jata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.