jaise jaise aap KHud ko jaanta jata hun main
jaise jaise aap ḳhud ko jāntā jaatā huuñ maiñ
ḳhud-baḳhud hī aap ko pahchāntā jaatā huuñ maiñ
har daf.a aate haiñ ḳhud hī ik na.e bahrūp meñ
ik tamāshā ho rahā hai dekhtā jaatā huuñ maiñ
jaam hai mai hai subū hai aur saaqī mahv-e-nāz
kul jahāñ ko ġharq-e-mīnā dekhtā jaatā huuñ maiñ
itne tūfānoñ se guzrā huuñ ki 'ādat ho ga.ī
mauj se tūfāñ kī ab to kheltā jaatā huuñ maiñ
hai mire sayyād kī marzī ki muñh se uf na ho
jal rahā hai āshiyāñ aur dekhtā jaatā huuñ maiñ
aap ko maiñ ne jo dekhā aap hī kī aañkh se
kyā batā.ūñ phir ki kyā kyā dekhtā jaatā huuñ maiñ
had nahīñ terī 'atā kī ḳhud mirā dāman hai tañg
tū musalsal de rahā hai māñgtā jaatā huuñ maiñ
huuñ sarāpā ‘kaif’-o-mastī bāda-o-sāġhar baġhair
aap mere rū-ba-rū haiñ dekhtā jaatā huuñ maiñ
jaise jaise aap KHud ko jaanta jata hun main
KHud-baKHud hi aap ko pahchanta jata hun main
har dafa aate hain KHud hi ek nae bahrup mein
ek tamasha ho raha hai dekhta jata hun main
jam hai mai hai subu hai aur saqi mahw-e-naz
kul jahan ko gharq-e-mina dekhta jata hun main
itne tufanon se guzra hun ki 'adat ho gai
mauj se tufan ki ab to khelta jata hun main
hai mere sayyaad ki marzi ki munh se uf na ho
jal raha hai aashiyan aur dekhta jata hun main
aap ko main ne jo dekha aap hi ki aankh se
kya bataun phir ki kya kya dekhta jata hun main
had nahin teri 'ata ki KHud mera daman hai tang
tu musalsal de raha hai mangta jata hun main
hun sarapa ‘kaif’-o-masti baada-o-saghar baghair
aap mere ru-ba-ru hain dekhta jata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.