aks-e-mahbub hain hum apne parastar hain hum
'aks-e-mahbūb haiñ ham apne parastār haiñ ham
aap ḳhud apnī mohabbat meñ giraftār haiñ ham
koī is gauhar-e-nāyāb kā pursāñ na huā
aa ke bāzār meñ ḳhud apne ḳharīdār haiñ ham
ik na.ī shakl meñ har baar nazar aate haiñ
bazm-e-ālam meñ koī jaise adākār haiñ ham
ḳhud hī ik naqsh banāyā phir hasīñ rañg bhare
ḳhud hī 'āshiq huā naqqāsh vo shahkār haiñ ham
ḳhud ko paane hī pe mauqūf hai tum ko paanā
ye sunā jab se ḳhud apne hī talab-gār haiñ ham
ā.īna dekh ke kah de ki koī tujh sā hai
phir parastish kareñ terī to ḳhatāvār haiñ ham
ham hī markaz haiñ simaT aa.ī hai duniyā ham meñ
mehvar-e-qaus haiñ ham markaz-e-parkār haiñ ham
bojh ziyāda ho agar saath safar mushkil hai
aap ḳhud apne liye ek girāñ-bār haiñ ham
laḌkhaḌā jaa.e vo jo ham ko faqat dekh le 'kaif'
naaz saaqī kare ḳhud jis pe vo mai-ḳhvār haiñ ham
'aks-e-mahbub hain hum apne parastar hain hum
aap KHud apni mohabbat mein giraftar hain hum
koi is gauhar-e-nayab ka pursan na hua
aa ke bazar mein KHud apne KHaridar hain hum
ek nai shakl mein har bar nazar aate hain
bazm-e-alam mein koi jaise adakar hain hum
KHud hi ek naqsh banaya phir hasin rang bhare
KHud hi 'ashiq hua naqqash wo shahkar hain hum
KHud ko pane hi pe mauquf hai tum ko pana
ye suna jab se KHud apne hi talab-gar hain hum
aaina dekh ke kah de ki koi tujh sa hai
phir parastish karen teri to KHatawar hain hum
hum hi markaz hain simaT aai hai duniya hum mein
mehwar-e-qaus hain hum markaz-e-parkar hain hum
bojh ziyaada ho agar sath safar mushkil hai
aap KHud apne liye ek giran-bar hain hum
laDkhaDa jae wo jo hum ko faqat dekh le 'kaif'
naz saqi kare KHud jis pe wo mai-KHwar hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.