hamari sanson mein bas rahe hain hamare dil mein sama rahe hain
hamari sanson mein bas rahe hain hamare dil mein sama rahe hain
Kaif Niyazi
MORE BYKaif Niyazi
hamārī sāñsoñ meñ bas rahe haiñ hamāre dil meñ samā rahe haiñ
yahī tasavvur meñ hai nazārā ye aa rahe haiñ vo jā rahe haiñ
vo mast āñkheñ vo bikhre gesū vo bahkī-bahkī sī chaal un kī
nishāt-e-shab kī hayā se ḳhud hī vo apnī āñkheñ jhukā rahe haiñ
nashīlī āñkhoñ meñ aisī mastī ki jaise ḳhud hoñ sharāb-ḳhāna
ki jis ne dekhī haiñ un kī āñkheñ vo be-piye Dagmagā rahe haiñ
fazā meñ hai ik sukūt taarī thamī huī hai hayāt saarī
vo dekho 'ālam hai sar-ba-sajda vo ruḳh se parda uThā rahe haiñ
bhaTak rahā thā maiñ muddatoñ se talāsh-e-manzil meñ chaar jānib
jo tere dāman meñ aa ga.e haiñ vo apnī manzil ko pā rahe haiñ
hamari sanson mein bas rahe hain hamare dil mein sama rahe hain
yahi tasawwur mein hai nazara ye aa rahe hain wo ja rahe hain
wo mast aankhen wo bikhre gesu wo bahki-bahki si chaal un ki
nishat-e-shab ki haya se KHud hi wo apni aankhen jhuka rahe hain
nashili aankhon mein aisi masti ki jaise KHud hon sharab-KHana
ki jis ne dekhi hain un ki aankhen wo be-piye Dagmaga rahe hain
faza mein hai ek sukut tari thami hui hai hayat sari
wo dekho 'alam hai sar-ba-sajda wo ruKH se parda uTha rahe hain
bhaTak raha tha main muddaton se talash-e-manzil mein chaar jaanib
jo tere daman mein aa gae hain wo apni manzil ko pa rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.