main KHud tha jab tak bhi sath apne kahin bhi manzil nazar na aai
main KHud tha jab tak bhi sath apne kahin bhi manzil nazar na aai
Kaif Niyazi
MORE BYKaif Niyazi
maiñ ḳhud thā jab tak bhī saath apne kahīñ bhī manzil nazar na aa.ī
maiñ kho gayā jab talāsh meñ ḳhud to yaar ko apne pā rahā huuñ
talāsh kis kī hai kaun ġham hai ye sab hijābāt haiñ nazar ke
judā hī kab the kabhī vo mujh se jo ab kahūñ un ko pā rahā huuñ
vujūd-e-vāhid hai sirf terā huuñ maiñ fareb-e-nazar mahz ik
jo tujh ko samjhā to phir kahāñ maiñ tū aa gayā hai maiñ jā rahā huuñ
chalā huuñ tanhā muqāble ko in āfatoñ ke in hādsoñ ke
havā ke ruḳh par charāġh rakh kar in āñdhiyoñ meñ jalā rahā huuñ
nisār saaqī ke mai-kade par ki itnā ‘kaif’-o-surūr baḳhshā
karam hai us kā 'atā hai us kī ki pī rahā huuñ pilā rahā huuñ
main KHud tha jab tak bhi sath apne kahin bhi manzil nazar na aai
main kho gaya jab talash mein KHud to yar ko apne pa raha hun
talash kis ki hai kaun gham hai ye sab hijabaat hain nazar ke
juda hi kab the kabhi wo mujh se jo ab kahun un ko pa raha hun
wujud-e-wahid hai sirf tera hun main fareb-e-nazar mahz ek
jo tujh ko samjha to phir kahan main tu aa gaya hai main ja raha hun
chala hun tanha muqable ko in aafaton ke in hadson ke
hawa ke ruKH par charagh rakh kar in aandhiyon mein jala raha hun
nisar saqi ke mai-kade par ki itna ‘kaif’-o-surur baKHsha
karam hai us ka 'ata hai us ki ki pi raha hun pila raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.