sitam hai jis but ne dil ko luTa isi ko dil mein basa raha hun
sitam hai jis but ne dil ko luTa isi ko dil mein basa raha hun
Kaif Niyazi
MORE BYKaif Niyazi
sitam hai jis but ne dil ko luuTā isī ko dil meñ basā rahā huuñ
sanam-kada ik 'ajīb yaaro durūn-e-ka.aba banā rahā huuñ
maiñ chhoḌūñ kyuuñ āstāñ ko tere ki koī manzil nahīñ hai aage
yahāñ hī jannat milī hai mujh ko yahīñ ḳhudā ko bhī pā rahā huuñ
jhukā na dair-o-haram meñ ye sar jhukā bhī āḳhir ko kis ke aage
tumhīñ ho mujh meñ to maiñ sar apnā ḳhud apne aage jhukā rahā huuñ
tirī hī hastī kā ’ain huuñ maiñ ki jaise gul meñ basī ho ḳhushbū
jahāñ bhī tujh ko maiñ pā rahā huuñ vahīñ maiñ ḳhud ko bhī pā rahā huuñ
ye baat sach hai ki miT rahā huuñ sile meñ tum mujh ko mil rahe ho
batā do tum hī ye jān-e-jānāñ maiñ kho rahā huuñ ki pā rahā huuñ
sitam hai jis but ne dil ko luTa isi ko dil mein basa raha hun
sanam-kada ek 'ajib yaro durun-e-kaba bana raha hun
main chhoDun kyun aastan ko tere ki koi manzil nahin hai aage
yahan hi jannat mili hai mujh ko yahin KHuda ko bhi pa raha hun
jhuka na dair-o-haram mein ye sar jhuka bhi aaKHir ko kis ke aage
tumhin ho mujh mein to main sar apna KHud apne aage jhuka raha hun
teri hi hasti ka ’ain hun main ki jaise gul mein basi ho KHushbu
jahan bhi tujh ko main pa raha hun wahin main KHud ko bhi pa raha hun
ye baat sach hai ki miT raha hun sile mein tum mujh ko mil rahe ho
bata do tum hi ye jaan-e-jaanan main kho raha hun ki pa raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.