kaisa tere maqtal mein tamasha nazar aaya
kaisā tire maqtal meñ tamāshā nazar aayā
gardan kaTī usī kī jo shaidā nazar aayā
hairat meñ huuñ kis baat kī hai mujh pe 'ināyat
mujhe kam-tar-o-bad-tar meñ tujhe kyā nazar aayā
kaise maiñ kahūñ ye ki tū nazroñ se chhupā hai
sab chhoḌ ga.e jab tū hī tanhā nazar aayā
tū rū-ba-rū ho kar bhī nigāhoñ se chhupā hai
tū ho ke 'ayāñ bhī pas-e-parda nazar aayā
tū merā bhī ḳhāliq hai mohammad kā bhī ḳhāliq
kaisā ye ḳhatā-kār ko rishta nazar aayā
kaisa tere maqtal mein tamasha nazar aaya
gardan kaTi usi ki jo shaida nazar aaya
hairat mein hun kis baat ki hai mujh pe 'inayat
mujhe kam-tar-o-bad-tar mein tujhe kya nazar aaya
kaise main kahun ye ki tu nazron se chhupa hai
sab chhoD gae jab tu hi tanha nazar aaya
tu ru-ba-ru ho kar bhi nigahon se chhupa hai
tu ho ke 'ayan bhi pas-e-parda nazar aaya
tu mera bhi KHaliq hai mohammad ka bhi KHaliq
kaisa ye KHata-kar ko rishta nazar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.