saqi ne dast-e-jam-e-haqiqat bana diya
saaqī ne dast-e-jām-e-haqīqat banā diyā
āñkheñ milā ke mujh ko ḳhudā se milā diyā
ab jaan jaa.e yā mire sar par musībat aa.e
ulfat kī raah meñ qadam aage baḌhā diyā
soz-e-nihān-e-'ishq kā kyā pūchhte ho haal
dil ko kyā kabāb jigar ko jalā diyā
apnā dimāġh kyuuñ na ho 'arsh-e-'azīm par
sar ḳhvāja-e-buzurg ke dar par jhukā diyā
dekhā balā-kashān-e-mohabbat kā iztirāb
ik aah kī to 'arsh-e-barīñ ko hilā diyā
hazrat kā rauza dekh madīna ko jā 'kalīm'
ham ne tujhe bahisht kā rasta batā diyā
saqi ne dast-e-jam-e-haqiqat bana diya
aankhen mila ke mujh ko KHuda se mila diya
ab jaan jae ya mere sar par musibat aae
ulfat ki rah mein qadam aage baDha diya
soz-e-nihan-e-'ishq ka kya puchhte ho haal
dil ko kya kabab jigar ko jala diya
apna dimagh kyun na ho 'arsh-e-'azim par
sar KHwaja-e-buzurg ke dar par jhuka diya
dekha bala-kashan-e-mohabbat ka iztirab
ek aah ki to 'arsh-e-barin ko hila diya
hazrat ka rauza dekh madina ko ja 'kalim'
hum ne tujhe bahisht ka rasta bata diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.