ai soz hoshiyar meri aankh tar na ho
ai soz hoshiyār mirī aañkh tar na ho
parde kī baat hai ye kisī ko ḳhabar na ho
gar chāhtā hai tū ki ḳhabar yaar kī mile
us ko talāsh kar jise apnī ḳhabar na ho
daaġh jigar diye haiñ to yārab du'ā hai ye
marham na ho 'ilāj na ho chāra-gar na ho
har mudda'ā se haath uThāyā hai bahr-e-dost
merī du'ā hai ye ki du'ā.eñ asar na ho
ahl-e-ġharaz haiñ 'ārij-e-auqāt ai 'kalīm'
chal baiThiye kahīñ ki kisī ko ḳhabar na ho
ai soz hoshiyar meri aankh tar na ho
parde ki baat hai ye kisi ko KHabar na ho
gar chahta hai tu ki KHabar yar ki mile
us ko talash kar jise apni KHabar na ho
dagh jigar diye hain to yarab du'a hai ye
marham na ho 'ilaj na ho chaara-gar na ho
har mudda'a se hath uThaya hai bahr-e-dost
meri du'a hai ye ki du'aen asar na ho
ahl-e-gharaz hain 'arij-e-auqat ai 'kalim'
chal baiThiye kahin ki kisi ko KHabar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.