har ek etibar se aaj tak hun faqat fareb-e-KHayal mein
har ik e'tibār se aaj tak huuñ faqat fareb-e-ḳhayāl meñ
mirī zindagī kā shumār hai na firāq meñ na visāl meñ
vo hasīñ har ek adā hasīñ magar itnī sab ko nazar nahīñ
koī ruup shān-e-jamāl meñ koī ruup shān-e-jalāl meñ
nahīñ jis pe ishq kā kuchh asar bhalā us kī husn pe kyā nazar
use kyā basañt kī ho ḳhabar jo rañgā na jaaye gulāl meñ
hue husn-o-ishq jo dū-badū rahī do diloñ kī ik aarzū
kabhī us ke ġhamza-e-shokH meñ kabhī mere chashm-e-savāl meñ
mirā yaar mujh se judā kahāñ hai vahī ayaañ hai vahī nihāñ
mere dil ke saath mirī zabāñ vahī qaal meñ vahī haal meñ
mire ġhaur-o-fikr ke zāviyoñ pe haiñ pahre aise lage hue
ye majāl hai ki tire sivā koī aa to jaaye ḳhayāl meñ
ye vahī hai 'kāmil'-e-bā-vafā ki jahāñ kahīñ bhī rahā rahā
tire zikr meñ tirī fikr meñ tirī dhun meñ tere ḳhayāl meñ
har ek e'tibar se aaj tak hun faqat fareb-e-KHayal mein
meri zindagi ka shumar hai na firaq mein na visal mein
wo hasin har ek ada hasin magar itni sab ko nazar nahin
koi rup shan-e-jamal mein koi rup shan-e-jalal mein
nahin jis pe ishq ka kuchh asar bhala us ki husn pe kya nazar
use kya basant ki ho KHabar jo ranga na jaye gulal mein
hue husn-o-ishq jo du-badu rahi do dilon ki ek aarzu
kabhi us ke ghamza-e-shokH mein kabhi mere chashm-e-sawal mein
mera yar mujh se juda kahan hai wahi ayan hai wahi nihan
mere dil ke sath meri zaban wahi qal mein wahi haal mein
mere ghaur-o-fikr ke zawiyon pe hain pahre aise lage hue
ye majal hai ki tere siwa koi aa to jaye KHayal mein
ye wahi hai 'kaamil'-e-ba-wafa ki jahan kahin bhi raha raha
tere zikr mein teri fikr mein teri dhun mein tere KHayal mein
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 193)
- Author : Meraj Ahmed Nizami
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.